Allah kya jigar tha

- Nadeem Sarwar (1989)


Ek dopher mei apna bhara ghar loota diya

Allah kya jigar tha janabe hussain ka (2)

1. Zakhmi badan firake pisar tashnagi alam
Tanhayi fauje shaam ka nargah kiye sitam
Ansaro aqraba ka bichadne ka dil mein gham
Khaime se aa rahi thi sadaye buka baham

2. Jab aaye izn lene ko abbas e bawafa
Hasrat se unko dekh ke shabbir ne kaha
Jao sidharo bhai nigehbaan hai khuda
Hum jaante hai door nahi aap se qaza

3. Jis waqt isteghasa e abbas ko suna
Jate the ran mein thokre khate shahe huda
Nagaah ek simt pe bazu pada mila
Dil thaam kar hussain ne usko utha liya

4. Bhai ke baad ran mein gaya naujawa'n pisar
Barchi ne tukde kar diya uska dilo jigar
Pohche qareeb laashe ke aur baithe khaak par
Barchi jigar se khechi to hatif ne di khabar

5. Ayyub dekho sabr e shehenshah e karbala
Tanha jawaan laal ka laasha utha liya
Haatho pe leke khaime ke janib jari chala
Dekha na hoga aisa kisi dil ka hausala

6. Sab fauj qatl ho gaye ab koi bhi nahi
Nargha kiye hai shaam ke aada udoo e dee'n
Barsa rahe hai teero ko har simt se laee'n
Haatho pe apne laate hai banu ka mehjabee'n

7. Maida'n mei sheer khwaar ko laye juhi hussain
Khoya sipahe shaam me apna sukuno chayn
Beta gale se lipta hua kar raha tha bayn
Kis sabr se juda kiya woh shahe mashreqayn

8. Dafna ke sheer khwar ke laashe ko shahedeen
Aaye khayame zainab e kulsum ke qaree
Lipti sakina qadmo se dil sog tha hazee'n
Baba naa aap jaaiye kehti thi mehjabee'n

9. Lipta ke apni beti ko sarwar ne yeh kaha
Sab hogaye aneeso aaizza mere juda
Hum jaaye qatl gaah mei ye marziye khuda
Ran ko sidhare kehte huwe shaah alwida