Jafar ke laal

- Shajar Naqvi (2016)


Phir se nabi ki aal pe ranjo alam hai aaj,
Jafar ke lal musiye kazim ka gham hai aaj

Baghdadi soghwar hai yasrab hai soghwar,
Har ek bashar har ek mukarrab hai soghwar,
Tuta nabi ki aal pe kaisa sitam hai aaj,

25 saal tak jo raha qaid e zulm me,
Har ek zulm jisne saha qaide zulm me,
Ha ha ousi ke gham me har ek aankh nam hai aaj.

Qaide sitam me margaa jafar ka nau nehal,
Kyun hona jae kalb musibat se paemal
Maula raza ko chain kahan koi dum hai aaj.

Mazdoro ne outhaya hai lasha imam ka ,
Pull par rakha hua hai jaaza imam ka,
Majruh kalbe sahebe judo karam hai aaj.

Jiske sabab hai deen ki kheti hari bhari,
Lawarisee me lash hai ouski padi hui,
Jetna bhi roe shahe ke azadar kam hai aaj.

Chhaya hai asmaano zamee par hawa pe sogh,
Tari hua hai phir se imame raza pe sogh,
Giriya kunan sahebe jaho hasham hai aaj.

Pardes me hussain ke pote pe hai jafa,
Phir se rasoole haqke nawase pe hai jafa,
Taza hua jahaan me wo zulm o sitam hai aaj.

Zulmo sitam na pahonche abhi ikhtetam ko,
Markad me bhi sukoon nahi hai imam ko,
Ghaibat ke izterab me khairul umam hai aaj.

Is baat par zamana kare kistarha na ghaur.
18 bete jiske ho uspar ho zulmo jaur,
Giriyaa sukhan warsan ki noke kalam hai aaj.

Ye baat or uspe bhi hojata hai karam,
Warna likhe azim ye rudade pur alam,
Kazim ke gham ka thoda sa qissa rakam hai aaj.