Abbas kate hatho ka ejaaz dikha do

- Miscellaneous (2014)


 Abbas Kate haathon ka Ejaz dikha do din mere palath do meri taqdeer banaa do

1. Mai bekas o majboor hoon naachar hoon maula
muflis hoon tah e dasht hoon naadar ho maula
Alaam o masaeeb mei giraftaar hoon maula
is waste ka talab gaar hoon maula

2. Mushkil mei Ghareeb’on ke madadgaar tumhi ho
har bekaso be yaar ke gham khaar tumhi ho
farzaand e yadullah ho muqtaar tumhi ho
Fauj e shah e bekas ke Alamdar tumhi ho

3. Allah ne baqsha hai tumhe Rutba e Aali
mohtaaj ke daata ho to bekas ke ho waali
tum babul hawaej ho zamana hai sawaali
mai bhi hoon gadaa aur mera daaman bhi hai khaali

4. Aye Nasir e deen sarwar e mazloom ka sadqa
Aye haami e deen Zainab o kulsoom ka Sadqa
besheer ke Sukhe huwe hulkhoom ka sadqa
Sajjad ka aur baqer e masoom ka sadqa

5. Har simt se mujh per hai musibat ki chadhaai
apne gham o alaam hai khushiyaan hai parayi
har raahat e duniya ne Nazar mujhse phiraayi
dil deta hai ro ro ke Sakina ki Duhayi

6. Agha Shah e mazloom ki Tauqeer ki Sadqa
bechaargi e zainab dilgeer ka sadqa
darbaar mei goonji huwi taqreer ka sadqa
beemar se lipti huwi zanjeer ka sadqa

7. Agha ye Ghulam apna kise haal sunaye
kaun aisa hai toota huwa dil jisko dikhaaye
Apne bhi nazar aane lage ab to paraye
hai kaun tumhare siwa bigdi jo banaye..