Marqad pe mohammed ke hasnain ka nauha hai
- Sayyed Asghar Ali (2018)
markad pe muhammad ke hasnain ka nauha hai
nana teri ummat ne zehra ko sataya hai
Baad aapke logon ne wo zulm kiye nana
suraj ne kabhi jiska saya bhi nahi dekha
us umme abiha ko darbar bulaya hai
Aye nana madine ki kuch aisi hawa badli
18ra baras me wo lagti hai zaifa si
dil chur hai zakhmo se pehlu bhi shikasta hai
Jhutla ke daleelo ko makhdooma e alam ki
haq chin ne walo ne hadd zulm ki ye kardi
jalta hua darwaza pehlu pe giraya hai
Allah ki lanat ho in ehle saqifa per
rone bhi nahi dete mazloom ko baba per
makhdooma e alam ki faryaad pe pehra hai
Tha zakhm abhi taza baba ke bichadne ka
mohsin ki shahdat ne dushwar kiya jeena
fizza se koi puche kis haal m zehra hai
Chalne ko asa ab to darkaar hai zehra ko
tasbeeh ka padhna bhi dushwar hai zehra ko
bus haath hai pehlu per pasli bhi shikasta hai
Is qarb se guzri hai firdaus ki shehzadi i
zalim ke tamache ko taa marg nahi bhuli
bekas ka janaza bhi tareekhi me utha hai
Thi haalat e sajda me hasnain ki maa "Ehsan"
jis waqt sidhari hai wo sue jina "Ehsan"
wo lamha hume 'Asgar' sadiyon se rulata hai.