Kijiye matam shahe dilgeer ka
- Miscellaneous (2014)
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Laakh ho Jahan Dushman Zulm se na Ghabrana,
Mushkilon Ki Raahon se has ke tum Guzar jana
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Juz Ghame shahedeen aur koi gham na Paas aaye,
Mausam e Aza hi bas Apne Dil ko Raas aaye
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Hum Dua e Zahra hain Roengey Rulaengey
Aansuon se Ankhon Ki Roshni Badhaengey
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Hum Hain Sheh ke Shaidaai maut se bhi khelengey
Aur Jafa paraston ko khaak mein miledenge
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Ta Abad Rahey Qaim Apna Matami Dasta,
Hai Jo Bazu e Sheh ke Naam hi se wabasta
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain, Ya Husain
Hai Dua e Aalim is baargahe Maula mein,
Kaam aaye paikar Ki shayri bhi Uqba mein
Aye Muhibbe Ali, Aye Fida e Ali Naam lekar Sabhi Shabbir ka,
Kijiye Matam Shahe Dilgeer Ka,
Ya Husain, Ya Husain