Tera matam shahe deen
- Farhan (ALI WARIS) (2007)
Tera ghum zinda hai abhi tak sogwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(3)
1. Tera akbar seene pe jiske
maara tha naiza ehle jafa ne..(2)
royi karbal ki zamee'n buka thi regzaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
2. Tera qasim ghodo ne jisko
pamaal maqtal mein kar diya tha..(2)
haye wo tanha tha sare maqtal hazaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
3. Tera ghazi dariya kanare
sota hai haye shane kata ke..(2)
rota hai darya falak hai sogwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
4. Tera asghar hatho pe tere
maara gaya jab teere sitam se..(2)
chhayi maqtal mein khiza fugha'n thi ye baharo'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
5. Tere ghar ko ummat ne loota
khaime jalaein cheeni ridayein..(2)
deti thi zehra dilase dilfigaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
6. Teri dukhtar daaghe yateemi
paaya tha jisne is kamsini mein..(2)
aag daman mein lagi lahu tha goshwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
7. Teri behne jab sar barehna
bazaar e kufa se jaa rahi thi..(2)
rote the abid fugha'n thi ashk baro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
8. Teri zainab beto'n ko apne
royi nahi hai royi hai tujhpar..(2)
behna bulati thi tujhe ashko ke dharo'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)
9. Tera mazhar din raat nauhe
likhta hai tere purse ki khatir..(2)
deta hai wo bhi sadayein sogwaro'n mein
Tera matam shahe dee'n bapa hai chand taro mein..(2)