Kazim ka janaza hai

- Mir Hasan Mir (2018)


Ya baab e hawaej maula..(6)

Haye imam kazim imam..(2)
Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(3)

Baghdaad ke qaidi par..(2)
zindaan bhi rota hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

1. Is dard ne turbat mein sajjad ko tadpaya
zindaa'n se nikal kar bhi azaad na ho paya
hai pehla janaza jo zanjeero mein jakda hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

2. Haye zanjeeero ko takti hai shano ko hilati hai
mayyat ko kabhi apni godi mein uthati hai
ek haath hai pehlu par lagta hai ye zahra hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

3. Zarre bhi lahu rokar rudaad sunate hai
qadmo'n ke nisha'n iske zindaa'n mein batate hai
ye naz'aa ke aalam mein kis tarha se tadpa hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

4. Jo log guzarte hai aapas mein ye kehte hai
gharwale to yasrab mein is qaidi ke rehte hai
phir iske janaze par ye kaun za'eefa hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

5. Kehti hai koi bibi hai waqt musibat ka
ab jald madine se aaja aye raza aaja
begoro kafan kabse beta tera baba hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

6. Haye har roz hi jaati hai wo turbat e zahra par
jakar waha'n kehti hai masooma e qum rokar
daadi mere baba ko kya aap ne dekha hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

7. Shabbir ki ghurbat ka nauha ye sunate hai
sukhe hue lab uske ummat ko batate hai
isne bhi dame akhir paani nahi paaya hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)

8. Ghurbat hai takallum ye shabbir ki ghurbat si
ek beti hai yasrab mein sughra ki tarha iski
is waaste mayyat ka rukh sue madina hai

Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)