Ajeeb dasht ka manzar
- Naved Abbas (2017)
Ajeeb dasht ka manzar dikhayi deta hai—2
gale pe shah k khanjar dikhai deta hai
Ajeeb dasht ka manzar dikhayi deta hai
1-kahin pe jaun ka lasha kahin habeeb ka tan
Nabi k chahne walon ka khaak pe hai badan
kahin pe lashaye akbar dikhayi deta hai.
ajeeb dasht ka manzar—2
2-kheza ne cheen li sari bahar gulshan se
juda kiya hai yahan sar ko zulm ne tan se
faqat lahu ka samandar dikhayi deta hai.
ajeeb dasht ka manzar-2
3-kisi k hath me naiza hai aur kisi k hai teer
koi dikhata hai lahra k hath me shamsheer
koi utarta chadar dikhayi deta hai
ajeeb dasht ka manzar-2
4-chala jo gardame saarwar pe zulm ka khanjar
har ek nabi ki nigahe thi shah k upar
lahu me chehraye sarwar dikhai deta hai
ajeeb dasht ka manzar-2
5-falak bhi dekhe to ab kis tarah bhala dekhe
ki jalti ret k upar baghair hatho ke
tadapta koi ghazanfar dikhai deta hai
ajeeb dasht ka manzar-2
6-Badan me bacho k naize chubha raha hai koi
wo aag khaimaye shah me laga raha hai koi
koi utarta chadar dikhayi deta hai
ajeeb dasht ka manzar-2
7-Tamache kha k koi dil hi dil sisalta hai
kisi k kaan se ab tak lahu tapakta hai
kisi k hath me gauhar dikhayi deta hai
ajeeb dasht ka manzar-2
8-Kalam ko rok lo “AZAM” kahan hai taabe bayan
hua hai kis tarah matam kahan hai taabe bayan
bas ek hashr ka manzar dikhai deta hai
ajeeb dasht ka manzar dikhayi deta hai-2