Mera seena phuphi amma

- Naved Abbas (2017)


Lag gyi dil pe sina ye na batana Amma
mera seena phoophi amma se chupana amma-2

1-kahna zakhmi hai zara dam me sambhal jayga
shahe waala ne dua ki hai sukun aayega
ghash me dekhe to batana ye sitam pyas ka hai
khuna kapdon pe jo dikhta hai wo abbas ka hai
lag gyi dil pe sina ye na batana amma
mera seena phuphi amma se-2

2-dard zakhmo me jo shiddat se machal jata tha
ya ali kah k main maqtal me sambhal jata tha
ye na kahiyo ki shahe deen utha laye hain kahna khud apne kadam ran se chale aye hain
lag gyi dil pe sina ye na batana amma
mera seena phuphi amma se-2

3-amma batla lo zara usko bhi ye bat shikab
kahin unse ye na ye kah de mera rahwar okaab
mujhse pahle hi phuphi jaana guzar jayngi
ghash me dekhengi to jeete hi ji mar jayngi
lag gyi dil pe sina ye na batana amma
mera seena phuphi amma se-2

4-mujhse kahti thi madeene me phuphi jaan aksar
tumko allah ne wallah banaya akbar
na wo din aye kabhi tumse juda ho zainab
yusufe karbobala tumpe fida ho zainab
lag gyi dil pe sina ye na batana amma
mera seena phuphi amma se chupaana amma-2

5-Ran se aakar ali akbar ne ye madar se kaha
aap rahna phuphi amma se khabardar zara
mujhse kahti thi tera dam hai mere jeene ko ran se allah bacha laye tere seene ko
lag gyi dil pe sina ye na batana amma
mera seena phuphi amma se chupana amma-2

6-Dam nikalne na diya jan se ghuzarne na diya
kahna akbar ko tere pyar ne marne na diya
han wahi usne kiya tumne jo farmaya hai
lakh zakhmi hai magar laut k ghar aaya hai
lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se-2
lag gyi dil pe sina ye na batana amma mera seena phuphi amma se chupana amma