Haye shaam

- Arbaz Zaidi (2016)


Dekh manzar sham ka zainab ye chillayi
aye khuda kaisi qayamat humpe hai aayi
haye shaam, haye shaam, haye shaam

Kal talak jis shehr ki shehzadi kehlayi
us jagah taqdeer be parda mujhe laayi

haye shaam, haye shaam, haye shaam

1. Saamne jiske qaza bhi kaap jati thi
jiski nass nass mein wafa khoo' banke behti thi
khauf se jiske zamee'n bhi thar tharati thi
mai sada saaye mein jiske muskurati thi
shane kata kar sogaya

haye shaam, haye shaam, haye shaam

2. Aye khuda hamsheer se bhai juda na ho
zulm ka khanjar ho bhai ka gala na ho
koi bhi bhai kabhi nazre qaza na ho
phir sitam aisa kisi par aye khuda na ho
khoo'n aankho se behta raha

haye shaam, haye shaam, haye shaam

3. Naaz tha abbas jaise apne bhai par
baad uske phirti hu mai aaj nange sar
kis tarha dekhu mai haye sharm ka manzar
kis tarha chehra chupau baalo se dhak kar
baaki kaha'n koi rida

haye shaam, haye shaam, haye shaam

4. Jo bhi the armaan wo sab reh gaye mann mein
haye wo kadiyal jawa'n bhi so gaya rann mein
aur madar darr bhatakti hai waha'n bann mein
hote hai armaan kya kya maa ke ek mann mein
kaisa sitam ye hogaya

haye shaam, haye shaam, haye shaam

5. Haye wo cheh maah ka nanha ali asghar
ghutniyo chalne ke din hi aaye the jis par
teen din ka bhuka pyaasa tha mera dil bar
hurmula ke teer ne dhaya sitam kyu kar
nanha gala chhalni kiya

haye shaam, haye shaam, haye shaam

6. Haye us beemar ki halat baya'n kya ho
lohe ki zanjeer mein jakda gaya jisko
uski gardan mein pada tha toq bhari jo
sar uthakar bhi na upar dekh sakta wo
ye zulm ki hai inteha

haye shaam, haye shaam, haye shaam

7. Baap se hokar juda kitna tadapti thi
wo sakina shaam ke zindaa'n mein roti thi
har ghadi shimr e laee'n ke zulm sehti thi
taziyane khake bhi khamosh rehti thi
kya kya sitam usne saha

haye shaam, haye shaam, haye shaam

8. Jiske hatho'n mein thi mehendi ki abhi laali
haye uski ho chuki ghodo se pamali
kya baya'n ho haye us kubra ki behali
jiski suni maang hai aur marr chuka wali
pal bhar mein sab kuch lut gaya

haye shaam, haye shaam, haye shaam

9. Kis tarha likhu tamanna sham ka manzar
dar ba dar phirti hai kaise aale paighambar
wo sitam dhata tha unpar shimr ka lashkar
zulm ki hadd aa chuki thi sabr se baahar
tadpayega usko sadaa

haye shaam, haye shaam, haye shaam