Godi mein uthalo
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2014)
Baba Mere Baba mujhe Godi Mein uthalo.
Ghabrata hai dil ab mujhe seene se lagalo..
Ye waqte qayamat hai ke rukhsat ki ghadi hai,
bechain sakina dare khaima pe khadi hai,
bachhi shahe mazloom se ye zid pe adi hai,
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
Tum jaate ho or koi sahara nhi baba,
dushman hai sabhi koi humara nhi baba
tum bin main jiyu mujhko gawara nhi baba
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
qasim bhi nahi hai ali akbar bhi nahi hai,
ab auno mohammed se biradar bhi nahi hai,
ammu mere abbas e dilawar bhi nhi hai
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
dil phatta hai ammu ke dilawar gaye maare,
ek roz mei sab aapke yawar gaye mare,
hadd ye hai ke nanhe ali asgar gaye maare
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
madar ka judai ke sabab haal bura hai
dekho phupi amma ka badan kaanp raha hai,
sab ahle haram rote hai wo waqt pada hai
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
beemar jo ek gash mein pada hai mera bhai,
moula ki judayi ki khabar sun na sakega,
baad aapke kya jaaniye kya haal ho uska,
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
ye ahle haram or ye sitamgaaro ka narga,
lut jaenga hum ek bhi khaima na bachega,
jo apne saro par hai wo parda na bachega,
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
baba meri aankho mein tabahi ka sama hai,
jalte hue khaimo ka nigaho mein dhuwa hai,
is aalame tanhai mein ek hashr bapa hai
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo
purhal naqi aakhri ruksat ka sama hai,
girya dare khaima pe khade the shahe wala,
dil hilta tha sun sun ke sakina ki fuga ko
(Ghabrata hai dil ab mujhe)..(2)
godi mein utha lo