Abbas ka matam
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2000)
Abbas ka matam
Abbas Ka Matam Hai Alamdar Ka Matam...
Farzande Ali Haidare Karrar ka matam...Abbas(a.s) Hai shabbir (a.s) khaimo ke nigehba,
saalar hai lashkar ke to bachho ke nigehba,
parde ke muhafiz hai ye behno ke nigehba,
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam
lashkar ke alamdar pe lashkar ki nazar hai
abbas ke jazbat pe sarwar ki nazar hai
is sher ke ehsas pe ghar bhar ki nazar hai
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam
Abbas ko ladne ki ijazat na milegi
is sher ko jeene mein bhi rahat na milegi
mar jaae to phir daade shuja'at na milegi
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam
pani se bhari mashk ko kandhe pe sambhala,
rehwar ko dariya ki rawani se nikala,
dushman ki safe cheer ke nikla hai jiyala
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam
Abbas ne shabbir ko ek baar pukara
khaime mein meri laash na pohche mere aaqa
sharminda sakina se hua jaata hu maula
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam
Asgar Kabhi pyasi nazar aati hai sakina
ammu ko nazar bhar ke bulati hai sakina
abbas se pyas apni chhupati hai sakina
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam
dariya hai jaha zero zabar sher ka matam
haider ki tamanna ka sharar sher ka matam
abbas ka matam hai magar sher ka matam
(Daryaa ka kinara hai)..(2)
Wafadar ka matam