Shabbir ka matam
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2011)
SHABBIR KA MATAM NA RUKA HAI NA RUKEGA...
MASOOM KA RUTBA NA GHATA HAI NA GHATEGA...
HUMLOG HUSSAINI HAI KHABARDAR KHABARDAR
(SAR ZULM KE AAGENA)..(2) JUKA HAI NA JUKEGA
JISKE LIYE ABBAS NE KATWAI THE BAZU
(ISLAM KA PARCHAM NA)..(2) JUKA HAI NA JUKEGA
ISS NOOR KO MEHSHAR KA BHI KUCH KHAUF NHI HAI
(SHABBIR KA SURAJ NA)..(2) DHALA HAI NA DHALEGA
HAR DUSHMANE SHABBIR HAI ISLAM KA DUSHMAN
(DUSHMAN KABHI LANAT SE)..(2) BACHA HAI NA BACHEGA
TEHZEEB SABEELO KI HAI ASGAR KA TABASSUM
(PANI PE KOI AISE)..(2) HASA HAI NA HASEGA
THHUKE BHI NA DAULAT PE GULAMANE SHAHEDI
(HUMLOGO MEIN KOI NA)..(2) BIKA HAI NA BIKEGA
NAIZO PE LAHU ROTI RAHI SHAME GAREEBA
(SARWAR KI TARAH KOI)..(2) LUTA HAI NA LUTEGA
FIRAON KI TAQAT YA VASEE ZOR HUKUMAT
BAATIL SE KABHI HAQ NA DABA HAI NA DABEGA