Asghar ke janaze ko

- Shabhi Gopalpuri (2018)


Asghar ke janze ko, haatho pe liye sarwar ...

Asghar ke janaze ko haathon pe liye sarwar, Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Ek dard kaelje me, ek aayat hoton par
Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2


Muhsin ki shahadat ka ghum taaza hota hai
chey maah ke bacche kaa, haathon pe janaaz hai
Qaabu me nahi aata sarwar ka dile muztar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Islam ki nusrat ko wo ran me chala aaya
Us nanhi si gardan par, woh teer e sitam khaaya
Besheer ke hansne kaa, aankho me liey manzar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Maqtal me qayamt ki ek woh bhi ghadi aayi
Shabbir ki ghurbat me, Allah re tanhaayi
Shish maahe mujaahid kaa, chehre pe lahu mal kar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Maa dekh le bete ko, ye soch ke bardhte hai
Kis tarha se dekhegi, ye keh ke palatte hai
Shabbir ke seenay me, barpa hai ajab mehshar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Aey laal kahunga kya puchegi agar maadar
Maqtal me sitamgar ne kya zulm kiya tujh par
Ye soch ke maqtal se, khaime ki taraf sarwar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Ehsaas ye sarwar ko, badhne hi nahi deta
chey maah ke bacche par yu zulm nahi hota
Hona hai sare khaima, barpa abhi ek mehshar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Haatho pe janaaza hai khaime ka iraada hai
Tuti hai kamar sheh ki aankho me andhera hai
Karte hai kabhi girya lagti hai kabhi thokar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Chey maah ka woh baccha, thaa khusk gala jiska
Paani ke evaz jiska, zaalim ne gala chedaa
Khud apne lahu me tar, godi me hai wo dilbar

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Jalti hui reti me, kis tarha chupaunga
Is chaand si surat ko, kaise dafnaunga
Ye sochke lagti hai, ek chot kaleje par

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2

Mazlumiey sarwar ko, kya koi likhe asghar
Khu sab ko rulata hai, aashur ka woh manzar
Ek laasha haatho par, sau zakhm liey dil par

Kabhi aagey barhtey hai, kabhi peechay hattey hai---2