Mere ghareeb hussain

- Shahid Baltistani (2019)


Haye ghareeb haye hussain

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

Bande kafan ko todke..(2)
Aayi hai phir se maa

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

1. Maathe pe teer pehlu mein paywast barchiya'n
Aur qalb mein sina
Marham lagayegi teri..(2)
Madar kaha'n kaha'n

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

2. Baahein gale mein daal lo
Himmat zara karo
Aye laal ghar chalo
In pattharo'n ke dher mein.. (2)
Tum chup gaye kaha'n

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

3. Rakh dungi haath gardan o
Khanjar ke darmiyaa'n
Waada hai meri jaa'n
Ghazi ki tarha dasht mein..(2)
Qurbaan hogi maa

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

4. Kadiyal jawaa'n ki laash pe
Tera tha imtehaa'n
Tayyar ab hai maa
Beta mai tere seene se..(2)
Khaichungi khud sina

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

5. Mohsin ke baad se meri
Jaise jhuki kamar
Tujhko to hai khabar
Aise hai baad ghazi ke..(2)
Teri kamar kamaa'n

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

6. Bete ke saath dasht mein
Madar ka khoo'n bahe
Kehdo ye shimr se
Gardan pe pehle wo kare..(2)
Khanjar mere rawaa'n

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain

7. Amma hata lo haath
Takallum thi ye sadaa
Katne do ab galaa
Har zarb par ye kehti thi..(2)
Pehlu shikasta maa

Aye mere ghareeb hussain
Mere ghareeb hussain