Qaid mein wo jane wali marr gayi
- Sonu Monu (2017)
Haye baba
haye zindaan, haye sakina
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
sham rokar aane wali marr gayi... han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
1. Koi to sajjad se keh de zara..(2)
wo tamache khane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
2. Chha gayi zindaan pe khamoshiya'n..(2)
haye wo chillane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
3. Raah mein wo zainab o kulsoom ko..(2)
aable dikhlane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
4. Raah mein kya kya sitam usne sahe..(2)
bhai ko batlane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
5. Khoon e dil aankho'n se jiski tha baha..(2)
ashk wo barsane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
6. Karbala se shaam tak seh kar jafa..(2)
har qadam dukh paane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
7. Sochti thi baba lene aaenge..(2)
dil ko wo behlane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
8. Mujhko is zindaan se lagta hai darr..(2)
haye ye farmane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
9. Bole abid koi to dede kafan..(2)
shimr se ghabrane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi
10. Matami ke saath ro tauqeer tu..(2)
wo sazaein paane wali marr gayi.. han marr gayi
Qaid mein woh jaane wali marr gayi