Jab tak jiyenge ehle aza ghum manaenge
- Khurshid asri (2009)
Ya Fatemah) ..(2)
(Fatemah Zahra) ..(4)
Jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
bibi tere husain pe ansoo bahayenge
Jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
1. Kis tarha toot jayenge ashko'n ke silsile
Jo gham tujhe mile wo kisi ko nahi mile
Tu gham naseeb hai yeh sabhi ko batayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
2. Woh teen deen ki tishna labi yaad he hamein
Sukhe gale pe kund churi yaad hai hamein
Pyaso'n ko uski yaad me paani pilayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
3. Sab kuch nisar karke isi gham ke waaste
Aulaad bech denge moharram ke waaste
Mazloom e karbala ki safe gham bichaayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
4. Surat nahi hai aur koi dil ke chain ki
Rakhte hain apne saath nishaani husain ki
Hum qabr me bhi khake shifa leke jayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
5. Jitna khayal tune rakha apne laal ka
Koi bhi itna pyar se paala na jayega
Uski musibato'n ko na hum bhool payenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
6. Seene me jis husain ke daghe hasan bhi hai
Yeh who shaheed hai jo gareebul watan bhi hai
Hum karbala pohonch ke palat kar na aayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
7. Har saans lamha lamha bahenge sharike gham
Farshe aza pe beth ke girya karenge hum
Teri sada me apni sadayein milayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
8. Abid ki chashme zaarse behta huwa lahoo
Who bekasi-e-zainab-o-kulsoom char soo
Bazaar me khule huwe sar yaad ayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge
9. Hoto'n pe murtaza ke ye haajat hai fatema
Dil me kaleem ke bhi ye hasrat hai fatema
Ayenge karbala me ye nauha sunayenge
(jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge) ..(2)
Bibi tere husain pe ansoo bahayenge
jab tak jiyenge ehle aza gham manayenge