Aye mere baradar

- Anjumane Ghulaman e masoomeen (2017)


Ay mere baradar ay mere baradar
Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Is dasht me sunta nahi ab koi hamari
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Lashe ko tere dekh ke hanste hai sitamgar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Maiyat Ali Akbar ki faqat humne uthayi
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Ay bhai madad kardo zara nehar se aa kar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Atthara baras ki luti karbal me kamayi
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Khaime me tadapti rahi zainab yehi kehkar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Halmin ki sada sunke nida jhoole se aayi
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Maqtal me nehar ho gaya nanha Ali Asghar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Darya se utho dekhlo sarwar ne sada di
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Qasim nahi Akbar nahi na hai Ali asghar

Ay mere baradar ay mere
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Pyasi hai bohat phir bhi zaba se nahi kehti
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Imdad sakina ki karo pyas bujhakar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Din dhal gaya maqtal me ghadi asr ki aayi
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Mazloom pe chalne ko hai ab shimr ka khanjar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Hangaame sada khaime me kohram ki gunji
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Ghash Kha ke giri jati hai kulsoom zami par

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar

Saidaniya har haal me ro ro ke pukari
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Shabbir ka ab koi nahi monis o yawar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar

Maqtal me luti banue mazhar ki kamayi
Imdad ho bhai Imdad ho bhai
Ashfaque luta fatma zehra ka bhara ghar

Ay mere baradar ay mere baradar
Kehte rahe shabbir mere shere dilawar
Ay mere baradar ay mere baradar