Al madad shere khuda ran ko chala hai abbas

- Anjumane Ghulaman e masoomeen (2017)


Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas

Mashq le kar Jo chala hai sue darya Ghazi
Meri chadar ke muhafiz ko bata de koi
Ja raha hai toh use laut ke aana hoga
Dar pe khaime khadi hai meri bachi pyasi

Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas

Iski taqat ka laeno ko bhi inkar nahi
Rad na kar paye jise aisa koi war nahi
Khud bache mashq bachaye ya nibhaye wada
Aisi mushkil me hua Koh giraftar nahi

Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas

Gird bachchi ke khadi hai woh sakina pyasi
Kuza hatho me liye khushq hoto pe hasi
Badi hasrat se woh takti hai tumhara rasta
Aaye na laut ke tum gar tum toh woh mar jayegi

Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas

Tere jate hi qayamat ka sama hoga a'yan
Ran me ek budhi nazar dhundegi ek lashe jawa
Behre imdad sue nehr se aana bhai
Tum toh baba ki tarha karte hi mushkil aasaan

Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas

Muntazir shami hai hunain ke badle ke liye
Ba Khabar sab hai kayi roz ke tum ho pyase
Na mili tegh tumhe na hi mila izne wigha
Apni chadar ki hifazat ko bulaun main Kise

Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas

Ran me jis dam se Alam khane laga ghash mera
Hai woh khamosh sakina ko laga hai sadma
Jis ghadi harfe Alam nehar se sawar laye
Khak pe baith gayi todh ke bachi kuza

Al madad shere khuda ran ko chala hai Abbas
Toot na jaye kahi usse Judi sab ki aas