Chalo husainiyo tumhe bulati hai zameen e karbobala

- Anjumane Ghulaman e masoomeen (2017)


Hazaro gham ho gar tumhare sine
Maza na aaye is jahan ke jine me
Sukoo'n mile na makka o madine me
Toh un Palo me sukoo'n dilati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Koi jo khud ko haq parast kehta hai
Yazidiyat ki mehfilo me rehta hai
Rukhe talatum pe hamesha Behta hai
Nifaaq wala use batati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Liye tha khud me karbala ke ban lashe
Sipaahe haq haye pur mahan lashe
Muhafizaane dee'n ke bekafan lashe
Ke jinke sadqe kafan udhati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Ziyarato pe kafile jo jaate hain
Jo ishqe sheh me dast o paa'n katate hain
Ke jinpe aada zulm o jor dhaate hain
Toh unpe ashqe lahu bahati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Hum ahle baite mustafa ke shay dayi
Mahe aza me ghar ki yaad jab aayi
Jo gaon pohche bol uthi yeh purwayi
Hame watan ki zami dikhati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Azaye sheh jo hind me manate hain
Hussain ko hum apne ghar bulate hain
Bahisht jaisa apna ghar sajate hain
Hussain aate hain yaqee dilati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Khuda ka banda aasman par pohcha
Bulandiyo se nainawa ko jab dekha
Zami pe aake har kisi ko batlaya
Zamin jannat si jagmagati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Bani jahan ki khaak hai Jo khaake shifa
Bana hai iski khoon ibne shere khuda
Marizo aao paao ek pal me shifa
Har ek marz ki dawa banati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala

Jahan se mar ke jaaye jab bhi shirazi
Khudaya tujhse hai dua e shirazi
Ke karbala me qabr paaye shirazi
Suna hai aasi ko bakshwati hai
Zamin e karbala
Chalo hussainiyo tumhe bulati hai zamin e karbala