Laash e akbar par

- Ali Raza Surani (2019)


[Haye Hussein(as) Haye Haye Akber(as) ]x2
Zaif baap ka kaisa hai imtehan
[Haye Hussein(as) Haye Haye Akber(as) ]x2


(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Jis tarha sheer khaar chalte hai GhutniyoN ka Sahara le le kar

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Hain bohat durr hum toh khaimo se,tum jawaaN hoo zaef hai baba
Yeh bhi tum jaante hoo baad e Jari,
jhuk gayi hai qamar meri beta
Mar gaye tum agar toh laash teri Kaise khaime mei jaaunga lekar

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Dekha barchi ka phal hai sine mei,khoon e Akbar(as) se tar hai karbobala
Quwwat e jism ko samete huwe,sheh ne Nad e Ali ka wird kiya
Kechi barchi jawaaN ke sine se bole Shabbir(as) ya Ali Haider(as)

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Tan se barchi nikal gayi lekin saath lekar kaleja Akber(as) ka
Sheh(as) ne laashe jawaaN ke sine ko apne sine se phir lagaya tha
Ran mei gunji sada yeh Sarwar(as) ki Ali Akber(as) mere Ali Akber(as)

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Ek maaN hai Teri musalle par,zindagi ki jo maangti hai dua
Jisne atthara saal paala hai,dekhti hai woh maaN Tera rasta
Kya kahu dono maaoN ko main Teri yeh bata do Mujhe ay lakht e Jigar

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Sheh the laashe jawaaN ke sarhane aaya jab ran mei qaside Sughra(sa)
Khat mei beti ne apne baba se apne bhai ka haal pucha tha
Ro pade ran mei Shahe Kaun o MakaaN khat ko Sughra(sa) ka laash par rakh kar

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Baap budha tha aur laash jawaaN,sheh pe royi zameen e karbobala
Laash khaime mei kis tarha pohchi,koi bhi shaks likh nahi sakta
Ek khat ediyo ka jaata tha haye maqtal se khaime ke andar

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2

Khaima e shah mei Raza barpa,ek Qayamat ka shor o girya tha
Koi chehre ko dekhe rota tha,koi rota tha dekh kar sina
Daag lekar jawaaN ki furqat ka,Ek kone mei the Khade Sarwar(as)

(Larkharate huwe shahe wala aise pohche hai laashe Akber(as) par)x2