Haye qayamat ka hai samaa, chane lagi shame gharibaan
- Miscellaneous (2014)
Haye Qayamat Ka Hai Samaa Chane Lagi Sham-e-Garibaan
Khemaa-e-Sadaat Se Utha Dhowaa
Dhal Gaya Din Khatm Ladayi Hui
Maut Ki Khamoshi Hai Chahi Hui
Chaak Girebaan Khudayi Hui
Khak Basar Fatima Jayi Hui
Larzi Zamee Kanp Utha Aasmaa
Haye Qayamat Ka Hai Sama
Noor-e-Nazar Raj Dulare Gaye
Zainab-e-Dilgeer Ke Pyare Gaye
Shah Ke Ansaar Bhi Mare Gaye
Aas Thi Jin Per Woh Sahare Gaye
Loot Liya Maut Ne Yeh Karwaa
Haye Qayamat Ka Hai Sama
Khun-e-Haider Sher-e-Jari Ka Alam
Ho Gaya Shabbir Ka Sir Bhi Qalam
Khushiyaa Manane Lagi Fauj-e-Sitam
Gum Se Tabah Haal Hai Ahle Haram
Lut Gayi Kaunain Ki Shah Zaadiyaa
Haye Qayamat Ka Hai Samaa
Aun O Mohammed Nahi Akber Nahi
Sarwar O Abbas Dilawar Nahi
Haye Koi Moonis O Yawar Nahi
Khemai Nahi Makna O Chadar Nahi
Dasht Main Hai Aal-e-nabi Be Amaa
Haye Qayamat Ka Hai Samaa
Madar-e-Akber Ka Ajab Haal Hai
Deta Hai Jab Koi Tassali Use
Kehti Hai Dil Thaam Ke Rote Hue
Kho Gaye Is Ban Main Sahare Mere
Mar Gaya Haye Mera Kadyal Jawaa
Haye Qayamat Ka Hai Samaa
Maa Hu Har Ek Ranj Uthaungi Main
Rote Howe Khud Chali Jaungi Main
Dhoond Ke Besheer Ko Laungi Main
Us Ke Bina Jee Nahi Paungi Main
Rah Gaya Haye Mera Baccha Kahaa
Haye Qayamt Ka Hai Samaa
Haye Yeh Be-Chargi Yeh Be-Kasi
Deta Nahi Us Ko Dilaasa Koi
Dher pe Laasho ke Akele Khadi
Kehti Hai Bacchi Koi Sahmi Hui
Dhudne Jaaon Tumhe Baba Kahaa
Haye Qayamat Ka Hai Samaa