Ya Sahib az-zamaan
- Shuja rizvi (2015)
Jab mera maula zahoor karega
kaabe ki deewar se tek lagakar mera maula kahega
Ana baqiyatullah, mai baqiyatullah hu
aye ehle alam, mera jadd hussain hai
jisko pyasa shaheed kar diya gaya
arey wo itna mazloom tha
ke jise zalimo ne shaheed karne ke baad
uske badan pe libas tak na chhoda
aye mazloom hussain ke mazloom farzand
aye talib e dame maqtool e karbala
ya imam e zamana
maine karbala ko padha hai
maine karbala ko suna hai
magar karbala ke manazir ko dekhkar
khoon ke aansu bahane wale
maula aap hi bataiye na
karbala pe aale nabi pe kya guzar gayi
ya hussain, ya hussain
ya sahib az zamaan..(6)
1. Kijiye zara imam e zamaa'n karbala bayaa'n
be sar pade hai khaak pe kuch laasha e jawaa'n
girya kuna hai parda e ghaibat mein ek maa
kis karb mein hai sadiyo se ya sahib az-zamaa'n
maula ke dil mein zakhm hai taaza hussain ka
ab tak nahi utha hai janaza hussain ka
ya sahib az-zamaa'n
2. Maula sunaein aun o mohammad ki dastaa'n
guzri thi kya hussain pe laasho ke darmiyaa'n
dono janaze leke jo aaye shahe zamaa'n
dekha khadi hai saamne khaime ke darr pe maa
kaise behen ne bhai se aansu chupa liye
ek maa ne kaise bachho ke laashe utha liye
ya sahib az-zamaa'n
3. Khoo'n mein nahaya kis tarha bhai ka wo pisar
karbal ki khaak par hue ghode idhar udhar
kaise hussain pohche the dil ko sambhal kar
bikhre the shah zade ke tukde zameen par
rakha rida mein kaise tane paash paash ko
shabbir kaise laaye the qasim ki laash ko
ya sahib az-zamaa'n
4. Halat thi kya furaat pe us tashna kaam ki
baazu kate the karta tha koshish salam ki
aankho'n mein teer ye thi musibat ghulam ki
ghazi ne kaise ki thi ziyarat imam ki
tha pyaar kitna ghairat e ilyaas ke liye
shabbir kitna roye the abbas ke liye
ya sahib az-zamaa'n
5. Ya sahib az-zamaan wo manzar bataiye
laashe pisar pe jaane ko shabbir jab badhe
raste mein kitni baar wo baithe, uthe, gire
peeri mein kaise baap koi ghutniyo chale
laashe pisar pe kis tarha himmat sambhal li
lakht e jigar ke seene se barchhi nikal li
ya sahib az-zamaa'n
6. Maula bayaa'n karein na shahadat imam ki
kaise luti thi dasht mein daulat imam ki
maula bataein kya thi musibat imam ki
kaisi thi maula aakhri rukhsat imam ki
daman ko thame roti wo sadmo se kaun thi
lipti wo zuljanaah ke qadmo se kaun thi
ya sahib az-zamaa'n
7. Ya sahib az-zamaan baya'n kijiye safar
teero'n se chhalni hogaya zahra ka jab pisar
taari thi ghash hussain pe sar tha lahu mein tarr
kaise gire the pusht e faras se zameen par
awaaz di to hogi shahe mashreqain ne
dekha to hoga aapko mud kar hussain ne
ya sahib az-zamaa'n
8. Ya sahi az-zamaan guzarti thi sheh pe kya
jab hurmula ki teer se nanha gala chhida
mu se bajaye doodh ke taaza lahu baha
bachha pidar ke haath mein jab munqalib hua
kya haal e sabr tha dil e zahra ke chayn ka
dekha to hoga aapne chehra hussain ka
ya sahib az-zamaa'n
9. Kya fatema ka laal sare asr keh gaya
ummat ke waaste jo har ek zakhm seh gaya
chuma tha jo nabi ne gala khushk reh gaya
nana ka khoo'n nawase ke gardan se beh gaya
kaisa tha haal fatema ke noor e ayn ka
khanjar se kat raha tha gala jab hussain ka
ya sahib az-zamaa'n
10. Maula se sab hi kehna qamar ba dil e hazee'n
ki sakht kitni aal pe kufe ki sar zamee'n
guzre the kaise shaam mein wo abid e hazee'n
puchna, sab poochna
jo bhi aale nabi pe guzri thi sab poochna
magar yaad rahe, khabar daar, khabar daar
zainab pe guzri kya thi, kabhi puchna nahi
larza hai zulfiqar to rukh par jalaal hai
ye ghairat e imam e zamaa'n ka sawaal hai
Ya hussain Ya hussain