Ab aaye maula
- Anjumane Ghulaman e masoomeen (2017)
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Pidar ke gham me bhi jis bibi ko na rone diya
Talash karti hai us bibi ki lahed saya
Ujad gaye hain ghar, hai sham ka manzar
Mazare binte nabi bachaiye mola
Ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Hai zulm shame ghariba ke ab bhi nazro me
Chhini ridaye shaqi aa gaye the khaimo me
Sadaye hain sab ki, kanize zainab ki
Rida ko naize se bachaiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Ghiri thi binte Ali shamiyo ke Lashkar me
Kalam karte the jis ja zabaan patthar me
Sitam hai phir waisa, hai zad pe ab roza
Muhahize sheh ko bachaiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Alam uthate hain Ghazi ka log Kuch aise
Hai jhut aur riyakari sari unse parein
Farebi logo ke, farebi chehro se
Fareb ke parde hataiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Sadaye aati hai bachchi ki qaid khane se
Alam ke sath chacha aaye kyun na darya se
Hai muntazar ab bhi, ke aayega mehdi
Na intezar uska badhaiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Bahen ne kis tarha dekhe woh zulm ke manzar
Zaef baap ke hatho me tha jawan pisar
Na uth saka tanha, jawan ka lasha
Madad ko bahre khuda ab aiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Chhupaya asghare beshir ko jo zere zami
Talash naize se karte the jis tarha se laen
Woh jisne Asghar ka, nikala tha lasha
Ab usko naize pe uthaiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola
Dua e karta hai Gulzar kash ke hum ho
Yej anjuman ho farazdaque ho aur mesum ho
Aza ke mausam me, Hussain ke gham me
Unhe ziyarat pe bulaiye mola
Ab aiye mola ab aiye mola sitamgaro se hame bachaiye mola