Ali ke baad alamdare bawafa ghazi
- Miscellaneous (2014)
Mere ghazi, mere ghazi.. Mere ghazi, mere ghazi(2)
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi..(4)
Janab e fatima zehra ki hai dua ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
1. Furaat ki thi sada mile alam ki hawa
qaraar aaye mujhe ali ke maahlaqa
alam agar mere seene se ho laga ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
2. Mili jo izn e wigha kahegi karbobala
zamee' larazti hai kyu ye roze hashr hai kya
ali hai tegh bekaf ya ke aagaya ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
3. Duroon e mashk hai jaa'n alam hai mera nishaa'n
dua sakina ne di shaqee chupe hai kaha'n
alam uthaye labe nehr khada hai ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
4. Karu mai jung agar, baghair tegh o tabar
zamee'n zamee'n na rahe falak gire sar par
farishte kehne lage badhke marhaba ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
5. Jigar hai khoon ki sham qavi hai tashna dahaam
bhatiji ho ke bahan labo pe sabki hai jaa'n
ab aise haal mein kyu kar na marr gaya ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
6. Hai al atash ki sada payam e maut mera
sakina roke kahe kaha ho aao chacha
batau kaise ke be dast hogaya ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
7. Shikasta mashk hui ajal hai sar pe khadi
tamaam pani baha sakina kehti rahi
hai teen roz se sukha mera gala ghazi
Ali ke baad alamdar e bawafa ghazi
8. Rehan mera qalam hai mere ashko se namm
qadam furat mein hai lahu mein dooba alam
kamar hussain ki tooti thi jab gira ghazi
ali ke baad alamdare bawafa ghazi