Marr gayi baali sakina

- Sajjad Hallauri (2019)


Mar gai baali sakina baap ka sar dekhkar.
Ruk gaye bachchi ke paaon maut ka ghar dekh kar.


Mar gai baali sakina....2

Baandh kar jis dum sakina ko bithaya aout par...(2)
Sare qaidi ro pade purdard manzar dekh kar.

Mar gai baali sakina.....2

Hazrate ayyub bole intehaye sabr hai.(2)
Mutmaen sarwar khade hai lashe akbar dekh kar.

Mar gai baali sakina...2

Sirf ek chullu hi nikla khoon tere jism se (2)
Khoon rote the shahedi khoone asgar dekh kar

Mar gai baali sakina...2

Itna chhota to nahi tha kad humare bhai ka.(2)
Roi zainab kabre  abbassey dilawar dekh kar.

Mar gai baali sakina ....2

Kal ko mai khushbu na paungi mere nanhe se phool.(2)
Maa ye nauha padh rahi thi shakley asgar dekh kar.

Mar gai baali sakina...2

Karbala ke Baad laila se ye kahti thi rabab.(2)
Beridai yaad aajati hai chadar dekh kar.

Mar gai baali sakina...2

Iski maa zinda na ho kahti thi roker auraten .(2)
Shaam ke bazaar me besheer ka sar dekh kar.

Mar gaai baali sakina....2

Aye shararr naqvi gaye qaidi sare darbaar jab.(2)
Yaad haider aa Gaye kufey  ka member dekh kar.

Mar gai baali sakina....2