Salam nana ke roze salam maa ke mazar

- Nadeem Sarwar (2000)


Chala mai waada nibhane salam maa ke mazaar
salam nana ke roze salam maa ke mazaar

1. Mai tera deen bachaunga aye mere nana
Mai apna khoon bahaunga aye mere nana
hussain jata hai marne salam maa ke mazaar

2. Meri shareek e safar ban ke saath chal amma
safar pe jaata hu kapde mere badal amma
libas e khuld saja de, badan pe phir ek baar

3. Dua karo koi sar be rida na ho amma
namaz e shauq e shahadat qaza na ho amma
na aaye mere chaman pe, sitam ki gard o ghubar

4. Diye jalane ko nana tumari roze par
zaroor aayegi sughra har ek sham o sahar
khuda kare rahe roshan, sada tumhara mazaar

5. Tumhare jaisa hai nana ye mera laal akbar
dua karo na lage isko aasma'n ki nazar
lute na door watan se, hamare dil ka qaraar

6. Tamam phool se bache hai, aur garm hawa
hamare khoon ki pyaasi hai fauj e zulm o jafa
safar mein koi shajar bhi, nahi hai saaya daa'n

7. Ha ek phool to aisa hai jo khila bhi nahi
na paaye paani to kar sakta wo gila bhi nahi
wo jis ke dahan se aati, hai dudh ki mehkaa'n

8. Meri sakina kaha aur rasan ke band kaha'n
zameen e garm pe chalna use pasand kaha'n
qadam wo phool se nazuk, wo raaste purkhaa'n