Hum azadare hussaini

- Ali Safdar (2019)


Labbaik Ya Hussain....(6)
Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain...(2)
Hum Azadar e Hussaini....

Jiski haibat me hain batil....(2)
Hum wahi lalkar hain
Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain....(2)
Hum Azadar e Hussaini.....

(1) Hamd uski jisne Noor e Mustafa paida kiya
Mustafa ke Noor se phir Murtaza paida kiya
Hum Wilayat ke hain pairon....(2)
Shah ke hubdaar hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain..(2)
Hum Azadar e Hussaini...

(2) Baa e Bismillah ka nukta hain nazar ke saamne
Bolte Quran ka chehra hain nazar ke saamne
Saamne baatil ke har pal....(2)
Buzari inkar hain...(2)

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain....(2)
Hum Azadar e Hussaini....

(3)Deen ki khatir adu ki zaat se ladte rahe
Dars hain yeh Karbala ka, na kabhi peeche hate
Nasl e Hinda ke liye hum....(2)
Khauf ki talwar hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain...(2)
Hum Azadar e Hussaini....

(4) Fitna saazon ki kamar ko todna hain bakhuda
Zehn e shaatir ki ragon ko modna hain bakhuda
Mere Murshid mere Maula....(2)
Haider e Karrar Hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain....(2)
Hum Azadar e Hussaini.....

(5) Aakhri dam tak ladege dushman e Islam se
Sog me dubega baatil, Yu hamare naam se
Deen ki hurmat ki khatir...(2)
Aahni deewar hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain...(2)
Hum Azadar e Hussaini...

(6) Kis qadar waazeh hain logon, yeh Quran e Karbala
Har zamane ke liye hain yeh bayaan e Karabala
Karbala wale jahaan me....(2)
Har ghadi bedaar hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain....(2)
Hum Azadar e Hussaini....

(7)Ha isi baaradari me jalwa e mabood hain
Har Hussaini ke liye jo manzil e maqsood hain
Surat e Rehbar hamare.....(2)
Qafla Saalar Hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain....(2)
Hum Azadar e Hussaini...

(8) Aaj bhi zinda hain Yawar waaris e Farsh e Aza
Jiske girya me ayaan hain, Shaam o Kufa Karbala
Karbala walon ke gam me...(2)
Aaj tak gamkhwar hain

Hum Azadar e Hussaini, Haideri kirdaar hain...(2)
Hum Azadar e Hussaini....(2)