Che mahine ke nanhe musafir
- Mir Kareem Abbas (Bangalore) (2019)
Roke ban mein Yeh kehti Thi Madar
che mahine ke nanhe musafir.
(Waqth muhlath Zara tujhko deta
Phir mujhe koi shikwa na rehta
Sunti tujhse jo Mai lafze madar)
...Che mahine ke nanhe musafir .....
1. mera ghazi bhi darya pe soya
Maine akbar sa yousuf bhi khoya.(2)
main akeli hon aye mere dilbar
Che mahine ke.....
2. Teer zalim ne gardan pe mara
Zaqm dekhon mai kaise tumara.(2)
Jaan sarwar pe di tumne haskar
Che mahine ke.....
3. Kisse shikwa karun mere beta
sab hain ada nahi koi apna.(2)
jal gaya tera jhula bhi dilbar
Che mahine ke.....
4. Jaan leti hai teri judai waqth
ne yeh musibath dikhayi (2)
Zinda kaise rohon door rehkar
Che mahine ke.....
5. Umr marne ki teri kahan thi
rehm tujhpar na khaya wo phir bhi (2)
bin tere main jiyon lal kyunkar.
Che mahine ke.....
6. Baade karbal bhi aksar sharar yeh
roke kehti thi madar Kareem yeh (2)
lal nikle hoo kaise Safar par.
Che mahine ke.....