Qaid se chutke aayi hai zainab

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2019)


Qaid Se Chutke Aaayi Hai Zainab
Sadme Dil Par Uthayi Hai Zainab

Mai Hoon Zainab Falak Satayi Hoon
Tumse Milne Yahaan Mai Aaayi Hoon
Aur Lute Qafele Ko Laayi Hoon
Bhaayi Kya Kya Sitam Uthayi Hoon
Sham Tak Nange Sar Gayi Zainab
Kyun Na Phele Hee Mar Gayi Zainab

Uth ke Dekho To Ek Nazar Bhayi
Tukde Sadmon Se Hai Jigar Bhayi
Hogaya Hai Safed Sar Bhayi
Jhuk Gayi Hai Meri kamar Bhayi
Wada Poora Karke Aayi Hoon
Pusht Par Taziyane Khaayi Hoon.

Saare Kunbe Ko Saat Laayi Thi
Mehnato Se Ye Ghar Basayi Thi
Maine Daulat Ye Maase Payi Thi
Hogayi Dafri Jo Kamayi Thi
Ab Ho Kyun Kar Mere Basar Bhayi
Haayi Kis Muu’h Se Jaa’on Ghar Bhai.

Thi Muqadar Me Meri Ruswaayi
Kyun Na Darbar Hee Me Mauth Aayi
Pesh Hakim Gayi Ye Dukh Payi
Ghussa Aaya Tha Pee Gayi Bhayi
Jo Hue Zulm Seti Gayi Zainab
Sab Ke Rone Ko Reh Gayi Zainab.

Kya Batau Jo Guzre Ranjo Mehan
Bazoon Me Meri Bandhi Thi Rasan
The Tamashayi Saare Mard-o-Zan
Lut Gayi Lut Gayi Mai Shahe Zaman
Phiri bazareta Shaam Me Zainab
Gayi Darbar Aam Me Zainab.

Jab Kiya Hamko Daaqile Zindaa
Naam Ko Bhi Na Roshni Thi Wahaan
Roke Kehti Thi ye Sakina jaan
Yaan Se Le Kar Chalo Phupi Amma
Mujh Se Bardaash Ho Nahi Sakti
Mai Andhere Me So Nahi Sakti.

Maarte The Tamache Baaniye Sham
Kaan Se Us Ke Cheen Kar Gohar
Hogaya Tha Lahu Me Kurta Tar
Kya Kahoo’n Ab Ke Phat Raha Hai Jigar
Shimr Ki Khaa Ke Seliyaan bhayi
Mar Gayi Teri Neem Jaa’n Bhayi.
Qabar Sheh Ki Banayi Hai Zainab
Kuch  Yateeman ko layi
Kehti Hai Ro Ke Lo Qabar  Bhayi
Qatam Ab Hogaya Safar Bhayi.