Shab ko ashoor ki
- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (2019)
Shab ko ashoor ki ghaazi ne ye socha hoga...
Kal ye maidaan nhi mehshar ka namuna hoga...
Teg jangaah mein chamkegi jo bijli ki tarah...
Aankh me lashkare aada ke andhera hoga...
Pau utthenge to sahil pe kadam therenge...
Haath badh jaaye to chullu mein ye dariya hoga...
Aankh utthi suwe dariya to qayamat hogi...
Naa ye lashkar na sipahi na ye pehra hoga...
Saath Daudayenge kal kasim o akbar ghode,
Dasht jhankaar se tego ki dehelta hoga...
Jamma jab roze-dahum sheh ke fidai hoge...
Ek abbas hi do maao ka beta hoga...
Haaye Afsos Ke Kya iski Khabar Thi Unko,
Ek arma Bhi Na Abbas Ka Pura Hoga...
Kisne Socha Tha sakina pe sitam tutenge,
Phool se gaalo pe zalim ka tamacha hoga...
Kisne Socha tha musalmaan hi qatil honge,
Qatl Sajde Mein Payamber Ka Nawasa Hoga
Kis ko maloom tha aajayega wo din bhi naqi...
Balwaye aam mein shabbir ka kunba hoga...