Athara baras ke ali akbar

- Sayyed Ayaz Ahsan & Sayyed Aman Ayaz (1995)


Atthara Baras Ke Ali Akbar, Ali Akbar,
Farzande Hasan Ibne Ali Fatahe Khaibar,
 
1) Asghar Ka Tadapta Hua Seena Phuppi Amma,
Behaal Hai Pyasi Hai Sakina Phuppi Amma,
Dushwaar Hua Jaata Hai Jeena Phuppi Amma,
Baba Se Na Keh Paaunga, Lagta Hai Mujhe Dar....
 
2) Aajaye Agar Zidd Pe To Phir Saans Bhi Le Paaye,
Mumkin Nahi Talwaar Se Meri Koi Bach jaaye,
Ladne Ki Ijazat Jo Mujhe Baba Se Mil Jaaye,
Dekhega Zamana Meri Talwaar Ke Johar...
 
3) Ladne Ki Ijazat Jo Mili Shah Se Ek Baar,
Talwaar Ke Partol The Akbar Hue Tayyar,
Ek Shor Utha Rann Mein Hai Shagirde Alamdar...
Talwar Thi Akbar Ki To Abbas Ke Tewar...
 
4) Talwar Pe Rakha Jo Kahi Sar Nazar Aaya, 
Khaak Usko Chatai Jo Sitamgar Nazar Aaya, 
Behaal Bohat Shaam Ka Lashkar Nazar Aaya, 
Ek Sher Ke Manind The Bikhre Hue Akbar...
 
5) Ek Waar Kiya Maut Ke Panje Ne Sambhala,
Ek Naami Sipahi Ka Sar Is Tarha Uchala, 
Ladne Ka Jo Armaan Tha Akbar Ne Nikala, 
Kaanp Uthi Zameen Rann Ki Dehalne Lage Patthar... 
 
6) Is Fauj Ki Aankho'n Me Kahi Bhi Nahi Pani, 
Aaye Kaash Mayassar Ho Zara Sa Kahi Pani,
Dushman Ko Pilado Mere Baba Yahi Pani, 
Yalgaar Hai Pyaso Pe Hazaro Hai Sitamgar... 
 
7) Akbar Ne Zaba'n Rakhi Jo Sarwar Ki Zaba'n Par, 
Ek Aag Ka Darya Tha Barabar Ki Zaba'n Par, 
Shola Sa Lapakne Laga Akbar Ki Zaba'n Par, 
Kaato Ki Tarha Toot Gayi Pyaas Ke Sheh Par... 
 
8) Wo Pyaas Ka Aalam Tha Ke Jalta Tha Kalega, 
Kab yu Hi Sambhale Se Sambhalta Tha Kalega, 
Bas Toot Ke Pehlu Ko Nikalta Tha Kaleja, 
Roote Rahe Shabbir Kaleje Se Lipat Kar... 
 
9) Dekha Na Suna Aisa Kisine Koi Paikar, 
Jurmut Me Sitaaro'n Ke Hai Ye Mahe Munawwar, 
Is Pyaas Pe Qurbaan Hai Zehra Ka Bhara Ghar, 
Laila Ki Tamanna Hai Ye Zainab Ka Muqaddar... 
 
10) Uth Paayega sarwar se kaha bete ka lasha,
Atthara baras wale jawa bete ka lasha, 
Marr jaayegi dekhegi jo maa bete ka lasha, 
Ye Umr Sharar Aane Ki Hai Phool Pehen Kar...