Eik Hai Naara Haidery

- Farhan (ALI WARIS) (2003)


Eik Hai Naara Haidery

Ho Eik Hai Naara Haidery
Ya Ali Ya Ali Ya Ali(A.S) Haider(a.s.)

(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  1. Aisa Naara Mil Kay Lagao Soi Hui Ummat Ko Jagao
  2. Jaen Najaf Tak Is Ki Sadaen Mushkil Ko Khatir Mein Na Laao

    (Jhomay Najaf Ki Har Gali) x2 Eik Hai Nara Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  3. Yeh Naara Islami Naara Yeh Naara Hai Khair-e-Amal
  4. Is Naaray Ki Zad Peh Rahay Hain Khyber Khandaq Jang-e-Jamal

    (Akhir Duniya Maan Gai) x2 Eik Hai Naar Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  5. Khail Kay Maidanon Say Lekar Batil Kay Aiwanon Tak
  6. Is Naaray Ki Gonj Suni Hai Maqtal Say Zindanon Tak

    (Bol Rahi Hai Har Sadi) x2 Eik Hai Naara Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  7. Pakistani Fauj Ka Naara Allaho Ya Haidery Naara
  8. Hanafi Naara Jaffery Naara Har Maslak Har Qaum Ka Naara

    (Sab Ki Baqa Bhi Hai Yehi) x2 Eik Hai Naara Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  9. Yeh Naara Naara Hi Nahin Hai Zarb Hai Qalb-e-Batil Par
  10. Le Aya Tha Nooh Ki Kashti Ko Yeh Naara Sahil Par

    (Jis Mein Chupi Hai Zindagi) x2 Eik Hai Naara Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  11. Donon Jahan Mein Aey Maula Tu Hai Aur Teri Sarkaar
  12. Tujh Ko Dia Hai Nabi(s.a.w.w.) Nay Alam Rab Nay Bhaiji Hai Talwar

    (Baat Yeh Kitnon Ko Khali) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  13. Zarb-e-Ali To Zarb-e-Khuda Hai Taigh-e-Ali Bhi Taigh-e-Khuda Hai
  14. Tum Chahay Mano Na Mano Yeh Dekho Tareekh Mein Kia Hai

    (Kehtay Rahay Iqbal Bhi) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  15. Zarb-e-Ali Hai Aik Ibadat Zarb-e-Ali Maqsood-e-Risalat(s.a.w.w.)
  16. Zarb-e-Ali Ki Zad Mein Aakar Bach Nahin Sakti Kufr Ki Quwwat

    (Jaan Gaey Yeh To Sabhi) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery

    (Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2

  17. Momin Ki Naslon Ko Bachakar Batil Ko Dozakh Mein Girakar

Do Hisson Mein Tol Kay Katay Zarb-e-Ali Nay Zulm Kay Lashkar

(Taigh Bhi Hai Meezan Bhi) x2 Eik Hai Zarb-e-Haidery

(Eik Hai Naara Haidery Eik Hai Zarb-e-Haidery) x2