Sakina chalo karbala
- Shozab Abbas (2019)
Tha Qabre Sakina Pe Abid ka noha
Sakiña Chalo Karbala ko chaleñ
Utho ke rehayie ka paigaa'm aaya
Sakiña chalo Karbala ko chaleñ....
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Bahut sehliye dhukh bahut ghum uthaeye
Huwe kaan zakhmi tamache bhi khaeye
Ghamoñ se masaib se tooti huwi ho
Tumhare qareiñ ab koi gham na aaye
Bulata hai Sahil hame alqama ka....
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Aey jaane baradar pidar ki dulari
Ye dekho mili baliyañ bhi tumhari
Nahi chalna paidal tumhe ab sakiña
Hai maujood zindañ ke baher sawari
Ye zindaañ chohdo meri jaa'n khudara..
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Tadapti thi baba ke yadoo'n mein her dam
Har ik lamha ammu ka karti rahi ghum
Chalo milne ammu se baba se bibi
Karo chalke girya o noha o matam
Wahañ per hai Asghar bhi dekho tumhara...
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Andhera ye ab na satayega tumko
Na shimre layeiñ ab dara'ega tumko
Na hogi rasan ab gale mein tumhare
Na naqe se koi girayega tumko
Na rone pe koi lagayega pehra..
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Chalo karbala se Madine chalenge
Wahañ jake Sughra se hum sab milenge
Na ab khouf or darr na kaante safar mein
Ghume shah me khul ke hum roo sakeinge
Gaya Qaid ki saqhtiyon ka zamana..
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Tumhe to pata hai meri pyari behna
Tumhe dhundta hoga Asghar tumhara
Tumhari tarha wo bhi ab tak hai pyasa
Usse apne hatoñ se paani pilana
Tumhe dekhkar khush bahut hoga bhaiyya
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Jo armaan tera tha pura huwa hai
Yeh dekho ke zindañ ka dar khul gaya hai
Chalo chalke batlayen ammu ko apne
Sitam tumne rahoñ mein jo bhi saha hai
Batayenge baba ko ehwaal sara
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*THA QABRE SAKINA PE ABID KA NOHA SAKIÑA CHALO KARBALA KO CHALEÑ*
Sakiña magar ayse zindaañ mein soyi
Phuphi ne pukara ya Maa ne sada di
Tha waqte rihaiye haram ro rahe thai
Magar Arsalan Azmi wo na utthi
Tha abid ke hoñtoñ pe bas ye hi jumla..
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ...!*
*Tha qabre sakiña pe abid ka noha*
*Sakiña chalo karbala ko chaleñ*