Alamdar assalam
- Shozab Abbas (2019)
Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar
Abbas Alamdaar
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam (2)*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Aey Qamre bani hashim Aey Noore Ali ghazi
Zehra ki dua hai tu shehkaar e Jali ghazi (2)
Aey paikare anwaar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Quran wafa ka hai
Paiker tu haya ka hai
Hai shair Ali ka tu
Jo shair khuda ka hai (2)
Aey saniye karrar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Mansab hai alamdari
Maslak hai wafadari
Hai babe hawaij tu
Hai faiz tera jari (2)
Aey sakhiyun ke sardar
Alamdar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Siffeen mein jab taigh e ghazi ke khule johar
Kat Kat ke gire qadmon mein fouje adoo ke sir (2)
Aey qatil e kuffaar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Markaz hai ataoo'n ka
Mehwar hai disoo'n ka
Zamin hai ridao''n ka
Kaba hai wafao'n ka (2)
Aey sahibe kirdar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Pehchan hai mashkiza
Pehchan alam bhi hai
Pyaso'n bharam hai tu
Saqqae haram bhi hai (2)
Aey tashna dilafgaar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Teri aas pa chohd aaya
Nana ka nagar ghazi
Shabbir musafir ka
Tu zore kamar ghazi (2)
Aey sheh ke madadgaar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Talwaar nahi khainchi
Ki sheh se wafadari
Abbas ne chup ker ke
Islam pa jaa'n wari (2)
Amy haq ke tarafdaar Alamdaar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
Jab qatl huwa ghazi
Darya ke kanare per
Jawwad yun Kehti thi
Lashe pa qaza ro ker (2)
Aey Pyaso'n ke ghumkhwaar Alamdar assalam
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*
*Aey fouj ke salaar Alamdaar assalam*
*Ya ghazi Alamdar Alamdar assalam*