Maula Zawwar bana de
- Ali Shanawar and Ali Jee (2019)
Labbaik yaa Hussain ..(4)
Hussaina Hussaina Hussaina Hussaina ..(2)
Yaa Hussain Yaa Hussain
Yaa Hussain Shahe karbala
Aap hain karim baa khuda
Puri kijiye meri duaa
Iss baras ke arbaeen me karodo Zaereen mein....
Naam ho mera likha hua..
Yaa maula Yaa maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha de
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Dil me meri rooh me armaan basa hai
Khaabo khayalo me mere karbobala hai
Aankho me aansu hain labo par yeh Dua hai
Mere tadapne ki wajah tumko pata hai
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Aankhe meri kaash ke darr aapka dekhe
Haath mere rauze ki jaali ko jo thaame
Lab yeh mere aap ki chaukhat ko jo chume
Log mujhe aashiq-e-Shabbir pukare.
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Shaano pe main rakkhe hue shaal-e-aza ko
Ghar se main jis waqt chalu Karbobala ko
Baazu pe bandhunga main taaviz-e-Raza ko
Maa meri seene se lagaegi duaa ko
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Karbobala shehar-e-Najaf se main badhunga
Sardi ho garmi ho main paidal hi chalunga
Raah me Zawwar-o-ki khidmat maim karunga
Parcham - e - Abbas utha kar main Rakhunga.
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Bhula Nahi, Bhula Nahi,
Bhula Nahi aapke Akbar ki jawani
Yaad hai Asgar Ki mujhe tishna dahani
Ban gaya Zawwar toh mannat hai yeh mani
Naam-e-Sakina (s.a) pe pilaunga main paani.
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Shah-e-Karbala - Yaa Hussain Yaa Hussain
Shah-e-Karbala - Yaa Hussain Yaa Hussain
Aye Shah - e - karbobala mujhe Zawwar Bana
Yeh tammanna hai meri apna Darbar dikha
Yaa Hussain Yaa Hussain
Chal diye ahle aza sar pe Parcham hai Khula
Sab ki manzil hai wohi karbala karbobala
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De ..(2)
Haan Mujhe apna bana le
Aye mere Maula Hussain
Mujhe ek baar sada de
Aye mere Maula Hussain
Mujhe maulai bana de
Aye mere Maula Hussain
Meri taqdeer jaga de
Aye mere Maula Hussain
Maula Karbala Bula le
Aye mere Maula Hussain
Maula Karbala Bula le....
Maula Karbala Bula le....
Mujhe ek baar sada de meri qismat ko jaga de.
Apna Darbar dikha De
Yaa Maula Yaa Maula, Maula Zawwar Bana De
Maula Zawwar Bana De ..(2)
Labbaik yaa Hussain ..(5).