Qasim ki aati hai mehendi

- Meesum Abbas (2019)


Ran me bewa Hasan ki pukari,
Mere Qasim  ki aati hain mehendi..(2)

Aaj ke din ke jaau main waari,
Mere Qasim  ki aati hain mehendi

(1) Main Payambar ke pyaale bharugi...(2)
Shame Mushkil kusha ki dharugi
Bibi Zahra ki sehnak karugi
Mere Qasim  ki aati hain mehendi

Qasim dulha....(15)

(2) Sote kyu ho baraati jagaao....(2)
Shaadiyane shatabi bajao
Murtaza ke qaseede sunao
Mere Qasim  ki aati hain mehendi

Qasim  dulha....(15)

(3) Ek mandha
Mandha...
Ek mandha sehen me bandha do, usme dulha ko lakar bitha do
Ghar me sandal ke chaape lagao
Mere Qasim  ki aati hain mehendi

Qasim  dulha...(15)

(4) Yeh uroosi hain Ibn e Hasan  ki, Lao kaliyan Nabi ki chaman ki
Maang taaron se bhar do dulhan ki
Mere Qasim  ki aati hain mehendi

Qasim  dulha...(15)

(5) Bibiyon kya nazar hain tumhari...(2)
Agayi samdhano ki sawari
Kar do sharbat ki jaldi taiyari
Mere Qasim  ki aati hain mehendi

Qasim  dulha...(15)

Ran me bewa Hasan ki pukari, Mere Qasim ki aati hain mehendi