Aye kaash mai bhi hota
- Ali Safdar (2004)
Aye Kash Main Bhi Hota Maidan E Kerbala Main..
Aye Kaash, Ae Kaash, Ae Kaash
Aye Kaash Me Bhi Hota Maidany Karbala Me
Sani)
Mera B Zikar Ata Quraan E Karbala Me
1)
Zahra (S.A) K Ladley Py Jaan Apni Waar Deta
Tableegh-E-Mustafa (S.A.W.W) Ka Karza Utaar Deta
Hur (A.S) Ki Tarha Se Me B Adhaa Se Jang Kar K
Insanniat Ka Chehra Khoon Se Nikhaar Deta
2)
Sheh (A.S) Ki Taraf Jo Barhta Wo Haath Kaat Deta
Maidan-E-Jang Sara Lasho Se Baant Deta.
Juz Maut Aur Kahi B Jaye Ama Na Milti
Dil Zindagi Se Sab Ka Aisa Uchaat Deta
3)
Nasl-E-Yazeediat Ko Aisa Sabak Sekhata
Naam-O-Nasab B Apna Har Fard Bhool Jata
Sufiyanaiat Ki Aisi Miti Kharaab Hoti
Ta Hashar Phir Na Koi Namrood Sar Uthata
4)
Mola (A.S) Ba Jabr-E-Qismat Dil Me Rahi Ye Hasrat
Hasil Hoi Na Mujko Sarmaya-E-Shahadat
Ashk-E-Aza Ki Barish Karti Rahe Gien Ankhey
Seena Zani Karon Ga Is Gham Me Ta Qiamat
5)
Mera Salaam Un Per Jo Tashna Lab Rahe Hein
Be Jurm Karbala Me Jin K Galay Kate Hein
Ghoro Se Rhound Dali Adha Ne Jin Ki Lashay
Tapti Hoi Zameen Per Jo Be Kafan Pary Hein
6)
Wo Shaam-E-Gham, Wo Khaimay, Wo Raat, Wo Fizaye
Bacho Ki Sehmi Sehmi Wo Muztarib Sadaye
Aulaad-E-Fatima (S.A) Par Kya Kya Sitam Na Toote
Syedaniyo K Sar Se Cheeni Gaen Ridaye
7)
Jab Ran Se Arahi Thi Awaaz-E-Istighasa
Pur Dard Kis Qadar Tha Andaaz-E-Istighasa
Shayad Na Tha Jahan Me Koi Sewaye Asgher (A.S)
Hota Jo Rahe Haq Me Imdaad-E-Istighasa
8)
Her Bazm Her Zabaan Per Hein Karbala K Charchay
Ta Hasher Kam Na Hoongy Aal-E-Ibha K Charchay
Abbas-E-Bafawaa (A.S) Se Daad-E-Wafa Jo Milti
Hote Gali Gali Me Meri Wafa K Charchay