Ghazi ka sar
- Meesum Abbas (2019)
Yeh kaun log hain, Qafla kaha hain rawan
Haseen chaand se chehre hain, kuch sina pe ayaan
Inhi saron me se ek sar juda juda dekha
Faras ke saath jo gardan me hain bandha dekha
Haaye...
Gardan me rahwaar ki Ghazi ka sar bandha hain...(3)
Naize pe sar Hussain ka kuch yu bhi ro raha hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain..(2)
(1) Naizon pe sabke sar hain, Ghazi ka sar kaha hain
Bechain hain Sakina, Aayi labon pe jaan hain
Ghash khaake gir gayi woh, Zaalim se jab suna hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi Ka sar bandha Hain...(2)
(2) Bepardagi pe nauha, aur ghairaton pe matam
Sarwar ke sar se pucho yeh bekasi ka aalam
Zainab ka sar khula hain, Aabid ka sar jhuka hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghaazi ka sar bandha hain..(2)
(3) Kaise bayaan karu main Abbas ke safar ko
Ghode ke gaysuon se bandha Jari ke sar ko
Rahwaar bhi safar me rota hua chala hain, Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)
(4) Kya haal kar diya hain Saadat ke saron ka
Sar ko Shah e Huda ke, tandoor me hain rakha
Akbar ke sar ko haye, Sandooq me rakha hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha Hain...(2)
(5) Saidaniyon ke sar jab, mohtaaj hain rida ke
Sar Ghazi bawafa ka naize pe kaise thehre
Thehra na jo sina pe, toh yeh sitam hua hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)
(6) Abbas aur Sakina, qismat hain ek jaisi
Naake ki pusht par hain bandhi gayi bhateeji
Kamsin ka rassiyon me jakda hua gala hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)
(7) Salman aur Mesum, woh Bawafa dilawar
Naize pe bhi na aya, Aaka ke woh baraabar
Sultan e Karbala ka naize pe sar chala hain
Ghazi ka sar bandha hain
Gardan me rahwar ki Ghazi ka sar bandha hain...(2)
Ghazi ka sar bandha hain..(2)