Zafar e Jinn
- Meesum Abbas (2019)
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
(1) Ghulam e Fatah e Beerul Alam, main Zafar hu
Qaum e Jinnat ka Shah e Umam, main Zafar hu
Khaas mujh par hain Ali (a.s.) ka karam, main Zafar hu
Aaj rota hu magar
Thaam kar apna jigar
Dasht me mara gaya
Mere Aaqa (a.s.) ka pisar (a.s.)
Hai yeh afsos me maujood raha
Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka
Haaye kuch Kar na saka
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
.....Suno main tumko batata hu waqea Jo hua
....Roz e Ashoor tha, pehla hua tha raaj mera
.....Woh mere jashn ka din tha, saja tha taaj mera
(2) Do ghulamon ne mere aake kaha, aye Malik
Jiske baba ke sabab taj mila, aye Malik
Qatl hota hain jo Malik, hain tera aye Malik
Hogaya hashr bapa
Taaj pairon me gira
Apne lashkar ko liye
Main chala Karbobala
Hai yeh afsos me maujood raha
Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka
Haaye kuch Kar na saka
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
(3) Meri parwaaz
Meri parwaaz hui shehr e Musayyab pe tamam
Mujhko ta hadd e nazar aya nazar lashkar e Shaam
Main badha aage, ke mil jaye mujhe mere Imam (a.s.)
Ruk gaye mere qadam..Ruk gaye mere qadam ...
Jaha Shabbir (a.s.) ko insaanon ne tanha dekha
Meri aankhon ne waha laakhon ka majma dekha
Ambiya bhi the, Malaek the ajinnah the khade
Aisi noorani bashar the ke nazar na thehre
Ek jaanib the Rasool (s.a.w.a.) e Arabi, Ek jaanib the Ali (a.s.), Ek jaanib the Hasan Ibn e Ali (a.s.)
Phir na aankhon ko meri taab rahi, Maine Zahra (s.a.) ki sawari dekhi
Apni nazron ko jhukakar, jo hataya peeche
Nabi Adam (a.s.), Nabi Moosa (a.s.), Nabi Haroon (a.s.) dikhe
Isa (a.s.) o Yusuf (a.s.) o Yaqoob (a.s.) bhi pehlu me mile
Hud (a.s.) aur Lut (a.s.) kahi, Nuh (a.s.) kahi, Khizr (a.s.) kahi
Zikriya (a.s.), Yarmiya (a.s.) aur Shees (s.a.) o Sulaiman (a.s.) bhi the
Mukhtasir yeh ke Nabi saare waha the maujood
Unke peeche thi Malaek ki qatarein maujood
Farishte gaan e Jahannum, farisht e gaan e Behisht
Israeel, Israfeel, Mikaeel, Dardaeel
Rizwan aur Maalik, Fitrus wa Jibraeel
(4) Saath Shabbir ke maujood the sab Aali Maqaam
Maine Socha ke kaha jaye bhala adna Ghulam
Mujhko pehchaan bhi paye ya Nahi mere Imam
Haye ummeed mere dil me murjhane lagi
Ke achanak wahe se yeh sada aane lagi
Aao Zafar, Aao Zafar
Aao Zafar tumhe Shabbir ne bulwaya hain
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
(5) Pohoncha qadmon me kaha Maula Shah e Jinn o Bashar
Ho salaam aap pe is jinn ka Shah e Jinn o Bashar
Hukm pe aap ke hu fidya Shah e Jinn o Bashar
Dil mera doob gaya
Jab yeh Maula ne kaha
Tum palat jaao agar
Hone aaye ho fida
Hai yeh afsos me maujood raha
Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka
Haaye kuch Kar na saka
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
(6) Maine Maula se kaha izn mujhe de Shah e Deen
Bole Shabbir yeh Jinnat ki hain jung nahi
Main yeh bola kaha insaan hain, darinde hain sabhi
Bole Shabbir ke Nana ki yeh ummat hain meri
Inhe tum kuch na kaho, Inhe tum kuch na kaho
Tum hi batlao jiyu kaise bhala main Zafar
Aao dikhlau tumhe Karbobala main Zafar
Janisaaron ke janaze dekho
Mere pyaaron ke yeh laashe dekho
Tukde Qasim ka sarapa dekho
Zakhmi Akbar ka kaleja dekho
Kahi Abbas ke bazu, Kahi Asghar ka gulu
Ran me bikhra hain sabhi Bani Hashim ka lahu
Hai yeh afsos me maujood raha
Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka
Haaye kuch Kar na saka
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
(7) Dil ko ab taab nahi, phatne laga hain yeh jigar
Isse aage main bayan kar nahi sakta manzar
Mukhtasir yeh ke hue qatl Shah e Jinn o Bashar
Wada Abid se kiya
Main hu masroof e Aza
Jab talak zinda raha
Main karuga girya
Hai yeh afsos me maujood raha
Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka
Haaye kuch Kar na saka
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn
(8) Tha yahi Mesum o Salman kalaam e Zafar
Karbala me hain jaha dafn Imam e Zafar
Usse kuch dur hain maujood Maqaam e Zafar
Zafar e Jinn ne kiya
Apne wade ko wafa
Aakhri saans talak
Thi labon par yeh sada
Hai yeh afsos me maujood raha
Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka
Haaye kuch Kar na saka
Zafar e Jinn
Ana Zafar e Jinn
Zafar e Jinn