Zainab gale ko choom le
- Mir Hasan Mir (2019)
Haaye..
Rukhsat ko aaye khaime mein jab shah e karbala
to binte ali ne jodke haatho'n ko di sadaa
zainab gale ko choom le bhaiyya to jaiyye..(3)
so jaye thodi der sakina to jaiyye
zainab gale ko choom le bhaiyya to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye..(2)
1. Amma kahengi dekh ke chehra lahu bhara
Zainab ne kya khayal nahi rakhha bhai ka..(2)
haye, chadar se...
chadar se saaf karlu jo chehra to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
2. Zainab ghareeb hogayi kuch bhi nahi bacha
laashe uthake aun o mohammad ke mai zara..(2)
haye, ek baar...
ek baar phir utar lu sadqa to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
3. Jaane na deti barchiyo walo'n mein mai kabhi
wo maa hai aur kaneez hu bhaiyya mai aapki
arey rann mein bula rahi hai jo Zahra to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
4. Rokungi phir na aapko waada raha mera
nazdeek hai yaha'n se najaf shah e karbala..(2)
aajaye mere paas jo baba to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
5. Lagta hai rann mein aapka karta hai intezaar
lehra raha hai haath mein khanjar wo baar baar
bhaiyya, arey bhaiyya, arey bhaiyya
badal le shimr irada to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
6. Karni hai jang aakhri bhaiyya behen nisaar
khoo'n beh raha hai kaise chalayenge zulfiqaar..(2)
baazu ka zakhm baandh de behna to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
7. Zindaa'n mein hum jo qabr e sakina banaenge
kya aap leke ghazi ko us waqt aaenge..(2)
arey, kar lijiye..
kar lijiye behen se ye wada to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye
8. Kaise bayaa'n ho meer takallum wo bekasi
ye kehke bint e fatima khamosh hogayi
haye wade mein der hoti hai accha to jaiyye
so jaye thodi der sakina to jaiyye