Shaam

- Ali Akbar Ghadeeri (2019)


Baazaar e Sham, Darbaar e  Sham, Zindan e Sham Mere Imam

Qaydi bane, milo chale, aur tay kiye saare maqam


1) Sar ko jukaye sharm se kartey hai ye mola Dua
Mil jaye na pehchan ne wala hum e mere khuda
Be-parda ma-behne hai aur, Vo sham ka Majma e aam

Baazaar e Sham, Darbaar e  Sham, Zindan e Sham Mere Imam

2) Sunke sakina ne jo bhai ke labo se Ya Ali
Pucha sabab jo bhai se kehne lage aye laadli
Aane laga hai vo seher, kehtey hai jisko Sehre Sham

Baazaar e Sham, Darbaar e  Sham, Zindan e Sham Mere Imam

3) Lakho tamashayi hai Zainab ne kaha rotey huve
Ye baat khaaye ja rahi hai aye mere beta muje
Ahle haram ka kyu nahi karta koye bhi Ahteraam

Baazaar e Sham, Darbaar e  Sham, Zindan e Sham Mere Imam

4) Zindan ki taarikhiyo mai thi Sakina ki buka
Ghar jayengey kab laut ke, Kab aayege mere chacha
Zindan mai vo so gayi, letay huve baba ka naam

Baazaar e Sham, Darbaar e  Sham, Zindan e Sham Mere Imam

5) Ye soch ke rotey rahey Sajjad hay e Umr bhar
Darbar mai baazar mai sehzadiya thi na'ngey sar
Na mehramo ki bhid mai, aaya tha jo Zainab ka naam

Baazaar e Sham, Darbaar e  Sham, Zindan e Sham Mere Imam