Baba jaa'n (soz)
- Shozab Abbas (2014)
Itni tanha hoon mein baba jaa'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Jab se bichda hai asghar mera
Mere dil ka sukoo'n chal basa (2)
Paoo'ngi mein use ab kaha'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Pani lane ko ammu haye
Nehr se Phir na wo aa sake (2)
Hain sare naiza mehw-e fugha'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Berida baba yu'n hogaiye
Mujhpa chadar bhi rone lagi (2)
Kyu'na girya kare'n do jaha'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Badle purse ke taane mile
Aur mooh per tamache lage (2)
Ik yatima pa ye saqtiya'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Haye beemar bhai mera
Zulm ki jis pa hai inteha (2)
Qasre zalim hai aur imteha'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Tere seene pa soti thi mein
Kuch sukoo'n baba paati thi mein (2)
Wo sukoo'n ab mayassar kaha'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Ab bhi hai mujhpa zulm o jafa
Phir se weera'n hai roza mera (2)
Zayero'n per hain pabandiya'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Roke noha ye Qaisar likho
Qabre sarwar pa shozab padho (2)
Hai sakina ki ab bhi fugha'n
Mujhpa Roti'n hain tanhaiya'n
Qaid qane ki ye saqtiya'n
Mujhpa rooti hain tanhaiya'n
Baba jaa'n