Baba aaoge bohot yaad
- Hasan Jafar & Ali Hasan (2017)
Haaye sughra.. 4
Shabbir k ghar me hone lagi jis waqt safar ki taiyari
Sughra ne kaha tab baba se bhul k apni beemari
Har ek se kaha tumne baba is beti ko kya bhul gae
Abtak bhi nahi q mujhse kaha lejana nahi kya sath mujhe
Aisa na ho tanha reh jau kyu sunte nahi friyad
Baabaa mere baba...
Thi waqt e safar ek beti ki shabbir se ye fariyad2
Baba aaoge bohot yaad.....2
1) jane se tumhare aye baba Veeran ye ghar ho jaega
Sab chain sukun mera baba is ghar me kahin kho jaega
Din rat tadapkr roega furqat me dile nashaad
Baba aoge.....2
2) Wallah kabhi bhi tmse koi sughra na kregi farmaesh
Main apne shikasta seene me dafna dungi sari khwahish
Sunti hu k dasht e karbobala karna hai tumhe abaad
Baba aaoge...2
3) Veeran gharo k taalo par jaegi meri jis waqt nazar
Har koi mujhe yad aaega samjhaungi khud ko main kyu kar
Kab tak me sunaungi aakhir deewaro ko rudad
Baba aaoge..2
4) tum aachi tarah ye jaante ho majburi hai meri aye baba
Asghar k bina akbar k bina main ji nahi sakti aye baba
Kuch roz me hi main ghut ghutkar mar jaungi inke baad
Baba aaoge...2
5) Main ye to nahi kehti baba baithao amaari me mujhko
Thodi si jagah bas dilwado fizza ki sawari me mujhko
Lab par na kabhi bhi paoge shikwa na koi fariyad
Baba aaoge...2
6) Waise bhi ziyada din mujko duniya me nahi rehna baba
Kya jano k kis din mar jau ab maan bhi lo kehna baba
Ek bar agar tum han kehdo taa umr rahu me shaad
Baba aaoge...2
7) Jab jab bhi muazzin dega azan akbar ki mujhe yaad aayegi
Bachha jo koi aaega nazar asghar ki mujhe yad aegi
Lillah karado furqat pe zinda se mujhe aazaad
Baba aaoge...2
8) kya mujse bichadne ka sadma naadan sakeena seh legi
Roegi tadapkar aye baba ayegi use jab yad meri
Sunti hu tamache marega jb shimre sitam
Bedaad
Baba aaoge...2
9) kis tarha batau sughra ne kis kis se sifarish ki aasif
Mumkin hi nahi kar pau bayan kis tarha guzarish ki aasif
Jafar wo qayamat k jumle dohrane lage sajjad
Baba aooge...2