Agar hussain tera ghum

- Farhan (ALI WARIS) (2019)


Fatema Zehra, shukriya Zehra..(2)


Apne gham ko bhool gaya hu mai bakhuda,
Sine se jab se maine lagaya ghame HUSSAIN,
Kis muh se shukriya karu Zehra ka mai adaa,
Unke sabab naseeb me aaya ghame HUSSAIN......
Tu salamat rahe..(2)
Hamesha ghame hussain

Kahan se gham ko uthane ka hausla aata
Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)

1. Khudana khaasta aata kabhi jo ye mauqa
Ke baap dekhta kadiyal jawaan ka laasha
To lash uthaa ne se pehle hi baap mar jaata....

Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)

2. Ajeeb chahate hoti hai baap beti ki
Agar hussain ki beti na hausla deti
To beti baap ki mayyat se kaise hoti judaa

Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)

Jo ho gae shahid ghamee sheh ki raah mein
Unko liya HUSSAIN ne apni panah mein
Maaein ye boli beto ke laashe ko chum kar
Milna hame Imame Zama ki sipaah mein

3. Tumhare chaah ke karze chukaae hai maula
Ke Maa ne beto ke laashe sajaein hai maula
Karaar kaise shahido ki maao ko aata

Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)

4. Agar ye marsiye nauho me na suna hota
Ke laashe ghaazi pe kis tarah tune sabr kiya 
Toh gham me bhai ke bhai ka dam nikal jaata

Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)

5. Wo Maa ka pehlu shikasta bhi tune dekha tha
Agar nazar me na hota bichadna Maa Se Tera
toh kaise maa ke janaze ko beta dafnata

Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)

Ya Hussain..
6. Haye farhan o zille raza
Kaisa sabir tha maula mera
Sabr har gham pe karta raha
Zikr ho kaunse sabr ka

Nana ke jane pe 
Tera Sabr maula..
Maa ke janaze pe
Tera Sabr maula..
Haye baba ke zakhmo pe
Tera Sabr maula..
Haan bhai ke marne pe
Tera Sabr maula..
Haye akbar ke seene pe 
Tera Sabr maula..
Haan qaasim ke tukdo pe
Tera Sabr maula..
Masoom beti pe
Tera Sabr maula..
Haye asgar ki hichki pe
Tera Sabr maula..
Haan laashe Barabar pe
Tera Sabr maula..
Behno ki chadar pe
Tera Sabr maula..
Jalte hue ghar pe
Tera Sabr maula..
Lut te hue ghar pe 
Tera Sabr maula..

HUSSAIN ya HUSSAIN..(3)
HUSSAIN ya HUSSAIN ya HUSSAIN ya Hussain