Ab bhi asghar so raha hai

- Shuja rizvi (2019)


Haye asghar, haye asghar

Hai lehed mein haath sheh ka lasha e besheer par
ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

1. Qabr mein baba se ye lipta hua hai aaj bhi
hurmala ke teer se zakhmi gala hai aaj bhi
sar burida baap ka yeh dekhta hai aaj bhi
puri ginti ho na paayi gin raha hai aaj bhi
zakhm naizo'n ke hai kitne seena e shabbir par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

2. Baap godi mein utha laaya ise kis aas mein
rote hai aulad wale aalam e ehsaas mein
hoti hai mehsoos larzish lasha e abbas mein
nanhe hoto'n par zaba'n pheri hai kisne pyaas mein
roye dushman dekh kar is ko shishe tazeer par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

3. Faisla bus hoga haq hai kaun batil kaun hai
hurmala ki soch ka duniya mein hamil kaun hai
munsife tareekh likhe ismein shamil kaun hai
bekhata chhe maah ke bachhe ka qatil kaun hai
mohr asghar ne lagadi nusrate shabbir par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

4. Jab burida seh gaye to in mein ek sar kam hua
qabr taaza koi wo zalim chala tha dhundhta
wo zamee'n par har jagah par gaadhta naiza chala
lasha e asghar sina ke saath bahar aagaya
dekh kar ye ghash hai taari madar e besheer par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

5. Ek sadaa girye ki hai zindaan ke zulmaat mein
aur izafa ho raha hai din badin sadmaat mein
baap ke seene pe soti hai sakina raat mein
kitni hasrat aur hai kitna gila is baat mein
aaj rona aagaya zindaan ki taqdeer par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

6. Kitni sadiya waris e shabbir ne sadma saha
khoon ke aansu bahakar raat din rota raha
nahiya mein ek bachhe ko salaam usne kaha
chhe mahine ke bhala bachhe ka kya hai khoo'n baha
khoon ka badla hai wajib waris e shabbir par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par

7. Hichkiyo'n aur siskiyo'n ka ab bhi jaari hai safar
har azakhane mein hai mashk o alam aate nazar
ek hai taboot sheh ka phool aur ashko se tarr
hai ali asghar ka jhula is liye khali qamar
likh diya jaaye azakhane ki ye tameer par

ab bhi asghar so raha hai seena e shabbir par