Khuda hafiz

- Mir Hasan Mir (2019)


 

Haye... haye..(4)
Khuda hafiz sakina.... Khuda hafiz sakina...(2)

Baba aajao..
baba aajao ye beti jo tumhe pyaari hai
aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(3)

1. Aable dukhte hai hoti hai chubhan kharo'n ki
badhti jaati hai aziyat mere rukhsaro'n ki
yehi haalat ba khuda hoti hai beemaro'n ki
aisa lagta hai ke marne ki ye tayyari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

2. Apni janib jo bulati hai ye zindaa'n ki zamee'n
ye kahi'n aap se milne ka ishara to nahi
jald aajaein na hojaye bas ab der kahi'n
aap ke seene pe sone ki meri baari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

3. Haye..
Itna sabir hai mera bhai ke har dukh sehke
khoon ke aansu bahar haal theher jaate the
han magar manga gaya jab se kanizi mein mujhe
bhai sajjad ki ankho'n se lahu jaari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

4. Shimr ke durro'n ne kardi hai kamar meri nidhaal
mere baalo'n ki safedi se ayaa'n hai mera haal
ab mujhe dekhke karte hai sabhi log sawaal
haye, zard chehra hai kya is bacchi ko beemari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

5. Haye.
Pyaar hai beti se kitna ye batana hoga
han saath mein saare shahido'n ko bhi laana hoga
pehla pursa mera lene tumhe aana hoga
aaj zindaa'n mein sakina ki azadari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

6. Haye..
sochti hu ke kafan kaise mera laenge
kis tarha laash ko bhaiyya meri dafnaenge
qaidi hatho'n se mujhe kaise utha payenge
kaisi ye malik o mukhtaar ki lachari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

7. Khaak par thak ke jo baithi to tamache khaye
haye abbas pukari to tamache khaye
haye, aap ke naam pe royi to tamache khaye
mere rukhsaro'n pe... haye..
mere rukhsaro'n pe tafseel likhi saari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)

8. Baap ko beti sadaa deke ye boli akbar
kar diye baazu nisar apne chacha ne mujhpar
haye, uthega unka alam mashk e sakina lekar
wo wafa unki thi ye meri wafadari hai

aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2)