Haey Shaam
- Farhan (ALI WARIS) (2003)
Haey Shaam
(Shaam Haey Shaam Haey Shaam Haey Shaam) x2
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
- Naizon Peh Shahidon Kay Sar Hain Beemar(a.s.) Bhi Chalta Jaata Hai
- Zanjeer Ulajh Kar Peron Say Kehti Hai Yeh Ghum Kay Maaron Say
- Eik Rassi Hai Aur Bara Galay Yeh Qafla Aakhir Kaisay Chalay
- Kothon Peh Tamashai Hain Kharhay Aur Shaam Kay Baam-o-Dar Hain Sajay
- Darbaar Ka Dar Nazdeek Aya Bazaar-e-Sitam Ab Khatm Hua
- Darbar-e-Sitam Ki Aaraish Aur Takht-e-Laen Ki Zebaish
- Ba Parda Kanizein Baithi Hain Saidanian Saari Roti Hain
- Zalim Nay Ajab Yeh Kaam Kia Zainab(s.a.) Ka Achanak Naam Lia
- Zanjeer Chatakh Kar Toot Gai Beemar(a.s.) Nay Eik Angrhai Jo Li
- Darbar Say Jab Zindan Mein Gaey Sajjad(a.s.) Phophi(s.a.) Say Kehnay Lagay
- Zindaan Mein Sakina(s.a.) Nay Poocha Ghar Jaengay Hum(a.s.) Kis Din Bhaiyya(a.s.)
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Kuch Dair Mein Paththar Barseingay
Is Shehr Kay Baala Khanon Say Sajjad(a.s.) Ka Dil Gharbrata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Be Ghar Hain Musafir Bechadar Hai Kitni Aziyat Ka Yeh Safar
Bazoo Hain Bandhay Maan Behnon Kay
Sar Baap(a.s.) Chacha(a.s.) Kay Khoon Mein Tar Beemar(a.s.) Bohat Sharmata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Jalti Hai Zamin Kanton Say Bhari
Ronay Lagay Peron Kay Chalay Khoon Zakhmon Say Rista Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Ummat Hai Nabi(s.a.w.w.) Ki Chaar Taraf
Parhti Hai Nabi(s.a.w.w.) Zadi(s.a.) Khutbay Aur Ashk Falak Barsata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Kuch Dair Aseeron(a.s.) Ko Roko
Yeh Hukm-e-Yazidi Hai Aya Darbar Sajaya Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Jab Hochuki Poori Tab Jakar
Badkar Nay Ki Yeh Farmaish Lo Jashn Manaya Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Fizza(s.a.) Ko Banakar Jab Parda
Zehra(s.a.) Ki Betian(s.a.) Chupti Hain Sajjad Ko Ghash Ajata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Ghabrakay Ali(a.s.) Ki Beti(s.a.) Nay
Haathon Say Jigar Ko Thaam Lia Abid(a.s.) Ko Jalal Aajata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Darbar-e-Sitam Mein Shor Utha
Kia Aaj Najaf Say Aaey Ali(a.s.) Ya Waqt-e-Qayamat Aata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Yeh Kaisa Andhera Zindan Hai
Yaan Zinda Raheingay Hum(a.s.) Kaisay Dil Mera Dooba Jata Hai
(Haey Shaam Ki Galian Aaein Hai) x2
Ya Aur Koi Baqi Hai Sitam
Ghut Ta Hai Yahan To Dam Mera Ab Saans Ukharhta Jata Hai