Na asghar hai na sakina

- Mir Hasan Mir (2007)


Haye asghar, haye sakina..(4)

Zindaa'n se reha hokar bano
ab kya jayegi madina
na asghar hai na sakina
haye asghar, haye haye sakina

Bibi ke liye kitna mushkil..(2)
is haal mein hoga jeena
na asghar hai na sakina

1. Khali jhula shehzade ka
aur khoon mein tarr ek baali
jab dekhegi ghar mein aakar
zindaan se aane wali
tukde tukde hojayega..(2)
be khanjar uska seena
na asghar hai na sakina

2. Ek ki turbat tareeki mein
aur dhoop mein ek ka laasha
wo bhi pyaasi duniya se gayi
aur mar gaya wo bhi pyaasa
kisko baali pehnaye ab..(2)
aur kisko jhulaye jhula
na asghar hai na sakina

3. Jab khelte bache dekhegi
kya guzregi bano par
yaad aaenge jab apne bachhe
chal jayega dil par khanjar
jab saath nahi dengi saanse..(2)
kaise wo rahegi zinda
na asghar hai na sakina

4. Ab isse bada kya hoga sitam
aye chashme falak tu batla
aulad se ronak hoti hai
uthta hai jo koi laasha
lekin bano ki mayyat par..(2)
ab kaun hai rone wala
na asghar hai na sakina

5. Jo baat kahi thi bacho'n se
usne ta umr nibhayi
na paani piya thanda usne
na khud saaye mein aayi
bas dhoop mein baithi sham o sahar..(2)
kehti hi rahi ye hazina
na asghar hai na sakina

6. Lori ki sadaa nauha bankar
zindaan se ghar tak aayi
maa se sughra ye puchti hai
ye kaisi hai tanhayi
ab maa ne agar sach bol diya..(2)
to mar jayegi sughra
na asghar hai na sakina

7. Nauhe mein kaha'n tak meer hasan
rehan wo manzar likhhe
awaaz teri nauhe mein dhali
aati hai sadaa matam se
ye kehkar aye pursa daro..(2)
zahra ko pursa dena
na asghar hai na sakina

Zindaa'n se reha hokar bano
ab kya jayegi madina
na asghar hai na sakina
haye asghar, haye haye sakina
haye sakina.. haye sakina..
haye asghar, haye sakina