Wo haath kat gaye

- Shahid Baltistani (2019)


Nauha Lyrics <lyricsnauha@gmail.com>
    
Nov 13, 2018, 9:48 PM
    
to me
Tanhaiyaa'n, sargoshiyaa'n..(2)
Haan sakina ki hai ye fughaa'n..(2)

Meri gardan mein bandhi gayi rassiya'n
Mere kaano se nochi gayi baliya'n
Khoon behta raha... Haa
Dard behta raha... Haa
Taziyane la'eeno ke aur wo jafa

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Mujhko kaan'to pe paidal chalaya gaya
Baap ka sar dikha kar rulaya gaya
Tga wo kaisa safar..  Haa
Bibiya'n nange sarr... Haa
Ek ek zakhm se khoon behta raha

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Mai jo royi to mujhko tamache lage
Thak ke soyi to abid ko durre lage
Beech bazaar mein.. haa
Shehre aghyaar mein.. haa
Haye sadaat ka jo tamasha bana

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Bola darbaar mein aake yu ek shaqi
Tu kanizi mein jaa hakime waqt ki
Kaisa lamha tha wo.. haa
Kaisa sadma tha wo.. haa
Roke us dum pukari mai haaye chacha

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Mere baba ka sar tasht mein tha rakha
Usse gustakhiya'n karte the ashkiya'n
Koi haami na tha.. haa
Kisko deti sadaa.. haa
Ek ghayyur bete ko ghaiz aa gaya

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Raah mein paani aata mayassar agar
Daal deti thi abid ki zanjeer par
Har qadam ek jafa.. haa
Rona bhi jurm tha.. haa
Darmiya'n shamiyo ke thi aale abaa

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Pucha hakim ne darbaar mein shimr se
In aseero mein bint e ali kaun hai
Ro rahi thi phuphi.. haa
Thi wo kaisi ghadi.. haa
Naam phuphiyo ka leta tha wo be haya

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Dil pe patthar rakha aur jeeti rahi
Taziyane laeeno ke sehti rahi
Dushmano ka watan.. haa
Mai aseere mahan.. haa
Jis jagah ek lamha tha ek saal sa

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Kamsini aur aseeri wo zindaan ki
Jis jagah maut bhi aake rone lagi
Yaad nashtar bane.. haa
Khaak bistar bane.. haa
Phir ye zindaan meri lahad ban gaya

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

Ek paigham hai zaero'n ko yehi
Shab ko bibi ke roze pe jao kabhi
Ro rahi hai waha'n
Ab bhi tanhaiyaa'n
Sunke aaye hai farhan o mazhar sadaa

Bhool payi sakina kaha'n..(3)

 

 


Haye abbas, haye abbas..(2)
Haye abbas, haye haye abbas, haye abbas
Wo haath kat gaye..(2)
Ghurbat mein the jo shaah ki behno ka aasra
Wo haath kat gaye..

Ghurbat mein the jo shaah ki .

Pehra sadaa jo dete the..(2)
Zahra ki aal ka
Wo haath kat gaye..

Ghurbat...

1. Khushiya manao saamne lashkar mein shor tha
Ab humko koi rokne wala nahi bacha
Lo hogaya hussain ki ghurbat ka faisla
Wo haath kat gaye..

2. Haste the shami dekh ke aasu hussain ke
Haye shikasta hogaye baazu hussain ke
Tooti kamar jo shaah ki lashkar samajh gaya
Wo haath kat gaye..

3. Maidaan mein hussain ko jinki talaash hai
Haye do haath hai ya sheh ke bhare ghar ki laash hai
Is ghar ke pardedaro ne samjha ke be rida
Wo haath kat gaye..

4. Dukhtar ke ye madine ka abbas ne kaha
Haye amma muaaf karna mai majboor ho gaya
Ab tak yehi imam ke qadmo me jo sada
Wo haath kat gaye..

5. Akbar tadap rahe hai mera dil hai beqaraar
Ro ro ke shah kehte the zainab se baar baar
Laasha uthake laate jo kadiyal jawaan ka
Wo haath kat gaye..

6. Hai teer aankh mein meri rasta bataiye
Haye ghazi pukara mashk e sakina bachaiye
Baba najaf se aaiye imdaad ko zara
Wo haath kat gaye..

7. Hasrat se dekhti hai sakina sue faraat
Haye do haath bhi tadapte hai laashe ke saath saath
Jo haath rok sakte the shimr e laeen ka
Wo haath kat gaye...

8. Qasid ki baat par to takallum yaqee'n na tha
Haye dekhe jo neel haatho pe zainab ke jaa ba jaa
Akhir yaqeen maadar e ghazi ko aagaya
Wo haath kat gaye..